apne apne suraKHon ka Dar
''na.ī saḌkoñ ke naqshe'' kār-ḳhāne
ūñche ūñche pul mire mansūbe dekho aur kitāboñ meñ paḌho''
us ne kahaa... ''mere badan par haath bhī phero
magar sūrāḳh se uñglī alag rakkho''
magar us ke badan par har taraf sūrāḳh hī sūrāḳh haiñ
uñglī alag rakkho!
to kyā maiñ uñgliyoñ ko toḌ duuñ?
maiñ uñgliyoñ ko toḌ duuñ?
phir kaun tere husn kī tafsīr likkhegā? batā!
phir ye tasalsul raat din kā
chāñd sūraj kā akele mausamoñ kā
mas.aloñ aur mushkiloñ kā
kaise TūTegā? batā!
us ne hameñ ek dūsre se chhup ke rahne ke liye
kapḌe diye aur ḳhūbsūrat ghar diye
aur band kamroñ meñ zamīnoñ āsmānoñ kī sabhī sachchā.iyāñ kahne aur un
par bahs karne aur mansūbe banāne kī khulī āzādī dī
yāro! chalo saḌkoñ pe nañge sair karne jaa.eñ
shāyad rasm chal nikle
magar mere qabīle kā koī bhī mard
kapḌe phaaḌ kar ghar ko jalā ke
nañgī nañgī bāteñ kahne ke liye bāhar na niklā
sab ko apne apne sūrāḳhoñ kā Dar thā
nai saDkon ke naqshe kar-KHane
unche unche pul mere mansube dekho aur kitabon mein paDho
us ne kaha mere badan par hath bhi phero
magar suraKH se ungli alag rakkho
magar us ke badan par har taraf suraKH hi suraKH hain
ungli alag rakkho!
to kya main ungliyon ko toD dun?
main ungliyon ko toD dun?
phir kaun tere husn ki tafsir likkhega? bata!
phir ye tasalsul raat din ka
chand suraj ka akele mausamon ka
masalon aur mushkilon ka
kaise TuTega? bata!
us ne hamein ek dusre se chhup ke rahne ke liye
kapDe diye aur KHubsurat ghar diye
aur band kamron mein zaminon aasmanon ki sabhi sachchaiyan kahne aur un
par bahs karne aur mansube banane ki khuli aazadi di
yaro! chalo saDkon pe nange sair karne jaen
shayad rasm chal nikle
magar mere qabile ka koi bhi mard
kapDe phaD kar ghar ko jala ke
nangi nangi baaten kahne ke liye bahar na nikla
sab ko apne apne suraKHon ka Dar tha
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 77)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.