koi ye kaise batae
koī ye kaise batā.e ki vo tanhā kyuuñ hai
vo jo apnā thā vahī aur kisī kā kyuuñ hai
yahī duniyā hai to phir aisī ye duniyā kyuuñ hai
yahī hotā hai to āḳhir yahī hotā kyuuñ hai
ik zarā haath baḌhā deñ to pakaḌ leñ dāman
un ke siine meñ samā jaa.e hamārī dhaḌkan
itnī qurbat hai to phir fāsla itnā kyuuñ hai
dil-e-barbād se niklā nahīñ ab tak koī
is luTe ghar pe diyā kartā hai dastak koī
aas jo TuuT ga.ī phir se bañdhātā kyuuñ hai
tum masarrat kā kaho yā ise ġham kā rishta
kahte haiñ pyaar kā rishta hai janam kā rishta
hai janam kā jo ye rishta to badaltā kyuuñ hai
koi ye kaise batae ki wo tanha kyun hai
wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai
yahi duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai
yahi hota hai to aaKHir yahi hota kyun hai
ek zara hath baDha den to pakaD len daman
un ke sine mein sama jae hamari dhaDkan
itni qurbat hai to phir fasla itna kyun hai
dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
is luTe ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo TuT gai phir se bandhata kyun hai
tum masarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kahte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.