urdu
urdu zabāñ hamārī
hai jaan o dil se pyārī
ye mādarī zabāñ hai
rag rag meñ jo ravāñ hai
jab se zabān kholī
urdu hai apnī bolī
bachpan kī hai ye sāthī
kī is ne zehn-sāzī
shīrīñ zabāñ hai urdu
charchā hai is kā har-sū
urdu meñ naġhmagī hai
kyā is meñ dil-kashī hai
urdu jo koī bole
kānoñ meñ ras ye ghole
urdu meñ paḌhnā likhnā
baat is zabāñ meñ karnā
urdu ko zinda rakhnā
ham par hai farz apnā
lab jo 'farāġh' kholo
urdu meñ tum bhī bolo
urdu zaban hamari
hai jaan o dil se pyari
ye madari zaban hai
rag rag mein jo rawan hai
jab se zaban kholi
urdu hai apni boli
bachpan ki hai ye sathi
ki is ne zehn-sazi
shirin zaban hai urdu
charcha hai is ka har-su
urdu mein naghmagi hai
kya is mein dil-kashi hai
urdu jo koi bole
kanon mein ras ye ghole
urdu mein paDhna likhna
baat is zaban mein karna
urdu ko zinda rakhna
hum par hai farz apna
lab jo 'faragh' kholo
urdu mein tum bhi bolo
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.