sawal
ammī javāb dījiye mere savāl kā
aatā nahīñ samajh meñ ki ye kyā hai mājrā
kartī haiñ aap ham ko nasīhat ye baar baar
hotā hai jhuuT bolne vaalā gunāhgār
kyā baat hai magar ki jo ham-sā.ī aa.ī thī
nanhe kī umr aap ne kyuuñ kam batā.ī thī
abbā the ghar meñ aaj magar un ke dost se
ghar meñ nahīñ haiñ vo ye kahlvāyā kis liye
chāchā miThā.ī laa.e the parsoñ jo shaam ko
dī thī hameñ to aap ne thoḌī sī naam ko
us ko chhupā ki kahne lagīñ ḳhatm ho ga.ī
us vaqt jhuuT kahnā na thī baat kyā burī
ammī hameñ na ġhusse se āñkheñ dikhā.iye
kyā vāqa.ī hai jhuuT burā ye batā.iye
ammi jawab dijiye mere sawal ka
aata nahin samajh mein ki ye kya hai majra
karti hain aap hum ko nasihat ye bar bar
hota hai jhuT bolne wala gunahgar
kya baat hai magar ki jo ham-sai aai thi
nanhe ki umr aap ne kyun kam batai thi
abba the ghar mein aaj magar un ke dost se
ghar mein nahin hain wo ye kahlwaya kis liye
chacha miThai lae the parson jo sham ko
di thi hamein to aap ne thoDi si nam ko
us ko chhupa ki kahne lagin KHatm ho gai
us waqt jhuT kahna na thi baat kya buri
ammi hamein na ghusse se aankhen dikhaiye
kya waqai hai jhuT bura ye bataiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.