raat
gayā din huī shaam aa.ī hai raat
ḳhudā ne ajab shai banā.ī hai raat
na ho raat to din kī pahchān kyā
uThā.e maza din kā insān kyā
huī raat ḳhilqat chhuTī kaam se
ḳhamoshī sī chhā.ī sar-e-shām se
lage hone ab hot bāzār band
zamāne ke sab kaar behvār band
musāfir ne din bhar kiyā hai safar
sar-e-shām manzil pe kholī kamar
daraḳhtoñ ke patte bhī chup ho ga.e
havā tham ga.ī peḌ bhī so ga.e
añdherā ujāle pe ġhālib huā
har ik shaḳhs rāhat kā tālib huā
hue raushan ābādiyoñ meñ charāġh
huā sab ko mehnat se hāsil farāġh
kisān ab chalā khet ko chhoḌ kar
ki ghar meñ kare chain se shab basar
ġharīb aadmī jo ki mazdūr haiñ
mashaqqat se jin ke badan chuur haiñ
vo din bhar kī mehnat ke maare hue
vo māñde thake aur haare hue
nihāyat ḳhushī se ga.e apne ghar
hue baal bachche bhī ḳhush dekh kar
ga.e bhuul sab kām-dhandhe kā ġham
savere ko uTTheñge ab tāza-dam
kahāñ chain ye bādshah ko nasīb
ki jis be-ġhamī se haiñ sote ġharīb
gaya din hui sham aai hai raat
KHuda ne ajab shai banai hai raat
na ho raat to din ki pahchan kya
uThae maza din ka insan kya
hui raat KHilqat chhuTi kaam se
KHamoshi si chhai sar-e-sham se
lage hone ab hot bazar band
zamane ke sab kar behwar band
musafir ne din bhar kiya hai safar
sar-e-sham manzil pe kholi kamar
daraKHton ke patte bhi chup ho gae
hawa tham gai peD bhi so gae
andhera ujale pe ghaalib hua
har ek shaKHs rahat ka talib hua
hue raushan aabaadiyon mein charagh
hua sab ko mehnat se hasil faragh
kisan ab chala khet ko chhoD kar
ki ghar mein kare chain se shab basar
gharib aadmi jo ki mazdur hain
mashaqqat se jin ke badan chur hain
wo din bhar ki mehnat ke mare hue
wo mande thake aur haare hue
nihayat KHushi se gae apne ghar
hue baal bachche bhi KHush dekh kar
gae bhul sab kaam-dhandhe ka gham
sawere ko uTThenge ab taza-dam
kahan chain ye baadshah ko nasib
ki jis be-ghami se hain sote gharib
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.