parinde ki fariyaad
Interesting Fact
dedicated to children
aatā hai yaad mujh ko guzrā huā zamāna
vo baaġh kī bahāreñ vo sab kā chahchahānā
āzādiyāñ kahāñ vo ab apne ghoñsle kī
apnī ḳhushī se aanā apnī ḳhushī se jaanā
lagtī hai choT dil par aatā hai yaad jis dam
shabnam ke āñ.suoñ par kaliyoñ kā muskurānā
vo pyārī pyārī sūrat vo kāmanī sī mūrat
ābād jis ke dam se thā merā āshiyānā
aatī nahīñ sadā.eñ us kī mire qafas meñ
hotī mirī rihā.ī ai kaash mere bas meñ
kyā bad-nasīb huuñ maiñ ghar ko taras rahā huuñ
sāthī to haiñ vatan meñ maiñ qaid meñ paḌā huuñ
aa.ī bahār kaliyāñ phūloñ kī hans rahī haiñ
maiñ is añdhere ghar meñ qismat ko ro rahā huuñ
is qaid kā ilāhī dukhḌā kise sunā.ūñ
Dar hai yahīñ qafas meñ maiñ ġham se mar na jā.ūñ
jab se chaman chhuTā hai ye haal ho gayā hai
dil ġham ko khā rahā hai ġham dil ko khā rahā hai
gaanā ise samajh kar ḳhush hoñ na sunñe vaale
dukhte hue diloñ kī fariyād ye sadā hai
āzād mujh ko kar de o qaid karne vaale
maiñ be-zabāñ huuñ qaidī tū chhoḌ kar duā le!
aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana
wo bagh ki bahaaren wo sab ka chahchahana
aazadiyan kahan wo ab apne ghonsle ki
apni KHushi se aana apni KHushi se jaana
lagti hai choT dil par aata hai yaad jis dam
shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat wo kaamani si murat
aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana
aati nahin sadaen us ki mere qafas mein
hoti meri rihai ai kash mere bas mein
kya bad-nasib hun main ghar ko taras raha hun
sathi to hain watan mein main qaid mein paDa hun
aai bahaar kaliyan phulon ki hans rahi hain
main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hun
is qaid ka ilahi dukhDa kise sunaun
Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaun
jab se chaman chhuTa hai ye haal ho gaya hai
dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai
gana ise samajh kar KHush hon na sunne wale
dukhte hue dilon ki fariyaad ye sada hai
aazad mujh ko kar de o qaid karne wale
main be-zaban hun qaidi tu chhoD kar dua le!
- Book : Kulliyat-e-Iqbaal (Pg. 37)
- Author : Allama Iqbaal
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.