hamari gay
rab kā shukr adā kar bhaa.ī
jis ne hamārī gaay banā.ī
us mālik ko kyuuñ na pukāreñ
jis ne pilā.īñ duudh kī dhāreñ
ḳhaak ko us ne sabza banāyā
sabze ko phir gaay ne khāyā
kal jo ghaas charī thī ban meñ
duudh banī ab gaay ke than meñ
sub.hān-allāh duudh hai kaisā
taaza garm safed aur mīThā
duudh meñ bhīgī roTī merī
us ke karam ne baḳhshī serī
duudh dahī aur mīThā maskā
de na ḳhudā to kis ke bas kā
gaay ko dī kyā achchhī sūrat
ḳhūbī kī hai goyā mūrat
daana dunkā bhūsī chokar
khā letī hai sab ḳhush ho kar
khā kar tinke aur ThaThre
duudh hai detī shaam savere
kyā hī ġharīb aur kaisī pyārī
sub.h huī jañgal ko sidhārī
sabze se maidān harā hai
jhiil meñ paanī saaf bharā hai
paanī maujeñ maar rahā hai
charvāhā chumkār rahā hai
paanī pī kar chārā char kar
shaam ko aa.ī apne ghar par
duurī meñ jo din hai kaaTā
bachche ko kis pyaar se chāTā
gaay hamāre haq meñ hai ne.amat
duudh hai detī khā ke banaspat
bachhḌe us ke bail banā.e
jo khetī ke kaam meñ aa.e
rab kī hamd-o-sanā kar bhaa.ī
jis ne aisī gaay banā.ī
rab ka shukr ada kar bhai
jis ne hamari gay banai
us malik ko kyun na pukaren
jis ne pilain dudh ki dhaaren
KHak ko us ne sabza banaya
sabze ko phir gay ne khaya
kal jo ghas chari thi ban mein
dudh bani ab gay ke than mein
subhan-allah dudh hai kaisa
taza garm safed aur miTha
dudh mein bhigi roTi meri
us ke karam ne baKHshi seri
dudh dahi aur miTha maska
de na KHuda to kis ke bas ka
gay ko di kya achchhi surat
KHubi ki hai goya murat
dana dunka bhusi chokar
kha leti hai sab KHush ho kar
kha kar tinke aur ThaThre
dudh hai deti sham sawere
kya hi gharib aur kaisi pyari
subh hui jangal ko sidhaari
sabze se maidan hara hai
jhil mein pani saf bhara hai
pani maujen mar raha hai
charwaha chumkar raha hai
pani pi kar chaara char kar
sham ko aai apne ghar par
duri mein jo din hai kaTa
bachche ko kis pyar se chaTa
gay hamare haq mein hai neamat
dudh hai deti kha ke banaspat
bachhDe us ke bail banae
jo kheti ke kaam mein aae
rab ki hamd-o-sana kar bhai
jis ne aisi gay banai
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.