ek gae aur bakri
Interesting Fact
(Derived from 'Bachon ke Liye') From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
ik charāgah harī bharī thī kahīñ
thī sarāpā bahār jis kī zamīñ
kyā samāñ us bahār kā ho bayāñ
har taraf saaf nadiyāñ thiiñ ravāñ
the anāroñ ke be-shumār daraḳht
aur pīpal ke sāya-dār daraḳht
ThanDī ThanDī havā.eñ aatī thiiñ
tā.eroñ kī sadā.eñ aatī thiiñ
kisī naddī ke paas ik bakrī
charte charte kahīñ se aa niklī
jab Thahar kar idhar udhar dekhā
paas ik gaay ko khaḌe paayā
pahle jhuk kar use salām kiyā
phir salīqe se yuuñ kalām kiyā
kyoñ baḌī bī mizāj kaise haiñ
gaay bolī ki ḳhair achchhe haiñ
kaT rahī hai burī-bhalī apnī
hai musībat meñ zindagī apnī
jaan par aa banī hai kyā kahiye
apnī qismat burī hai kyā kahiye
dekhtī huuñ ḳhudā kī shaan ko maiñ
ro rahī huuñ buroñ kī jaan ko maiñ
zor chaltā nahīñ ġharīboñ kā
pesh aayā likhā nasīboñ kā
aadmī se koī bhalā na kare
us se paalā paḌe ḳhudā na kare
duudh kam duuñ to baḌbaḌātā hai
huuñ jo dublī to bech khātā hai
hathkandoñ se ġhulām kartā hai
kin fareboñ se raam kartā hai
us ke bachchoñ ko pāltī huuñ maiñ
duudh se jaan Dāltī huuñ maiñ
badle nekī ke ye burā.ī hai
mere allāh tirī duhā.ī hai
sun ke bakrī ye mājrā saarā
bolī aisā gila nahīñ achchhā
baat sachchī hai be-maza lagtī
maiñ kahūñgī magar ḳhudā-lagtī
ye charāgah ye ThanDī ThanDī havā
ye harī ghaas aur ye saaya
aisī ḳhushiyāñ hameñ nasīb kahāñ
ye kahāñ be-zabāñ ġharīb kahāñ
ye maze aadmī ke dam se haiñ
lutf saare usī ke dam se haiñ
us ke dam se hai apnī ābādī
qaid ham ko bhalī ki āzādī
sau tarah kā banoñ meñ hai khaTkā
vaañ kī guzrān se bachā.e ḳhudā
ham pe ehsān hai baḌā us kā
ham ko zebā nahīñ gila us kā
qadr ārām kī agar samjho
aadmī kā kabhī gila na karo
gaay sun kar ye baat sharmā.ī
aadmī ke gile se pachhtā.ī
dil meñ parkhā bhalā-burā us ne
aur kuchh soch kar kahā us ne
yuuñ to chhoTī hai zaat bakrī kī
dil ko lagtī hai baat bakrī kī
ek charagah hari bhari thi kahin
thi sarapa bahaar jis ki zamin
kya saman us bahaar ka ho bayan
har taraf saf nadiyan thin rawan
the anaron ke be-shumar daraKHt
aur pipal ke saya-dar daraKHt
ThanDi ThanDi hawaen aati thin
taeron ki sadaen aati thin
kisi naddi ke pas ek bakri
charte charte kahin se aa nikli
jab Thahar kar idhar udhar dekha
pas ek gay ko khaDe paya
pahle jhuk kar use salam kiya
phir saliqe se yun kalam kiya
kyon baDi bi mizaj kaise hain
gay boli ki KHair achchhe hain
kaT rahi hai buri-bhali apni
hai musibat mein zindagi apni
jaan par aa bani hai kya kahiye
apni qismat buri hai kya kahiye
dekhti hun KHuda ki shan ko main
ro rahi hun buron ki jaan ko main
zor chalta nahin gharibon ka
pesh aaya likha nasibon ka
aadmi se koi bhala na kare
us se pala paDe KHuda na kare
dudh kam dun to baDbaData hai
hun jo dubli to bech khata hai
hathkandon se ghulam karta hai
kin farebon se ram karta hai
us ke bachchon ko palti hun main
dudh se jaan Dalti hun main
badle neki ke ye burai hai
mere allah teri duhai hai
sun ke bakri ye majra sara
boli aisa gila nahin achchha
baat sachchi hai be-maza lagti
main kahungi magar KHuda-lagti
ye charagah ye ThanDi ThanDi hawa
ye hari ghas aur ye saya
aisi KHushiyan hamein nasib kahan
ye kahan be-zaban gharib kahan
ye maze aadmi ke dam se hain
lutf sare usi ke dam se hain
us ke dam se hai apni aabaadi
qaid hum ko bhali ki aazadi
sau tarah ka banon mein hai khaTka
wan ki guzran se bachae KHuda
hum pe ehsan hai baDa us ka
hum ko zeba nahin gila us ka
qadr aaram ki agar samjho
aadmi ka kabhi gila na karo
gay sun kar ye baat sharmai
aadmi ke gile se pachhtai
dil mein parkha bhala-bura us ne
aur kuchh soch kar kaha us ne
yun to chhoTi hai zat bakri ki
dil ko lagti hai baat bakri ki
- Book : کلیات اقبال (Pg. 32)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.