bataKH aur sanp
hiran kā ek chhoTā bachcha
dariyā ke kināre aa niklā
vahāñ pe ek bataḳh bhī thī
machhlī se vo ye kahtī thī
maiñ to dariyā meñ nahātī huuñ
jab chāhūñ maiñ uḌ jaatī huuñ
thak jā.ūñ maiñ to baiTh rahūñ
jab chāhūñ maiñ sabze pe chalūñ
tum to dariyā kī machhlī ho
paanī meñ rahtī bastī ho
tum merī tarah se chal na sako
tum merī tarah hil-jul na sako
tum merī tarah se aa na sako
tum merī tarah se jā na sako
ye baat sunī ik saañp ne
ġhusse se lagā vo kāñpne
vo bolā kyuuñ majbūr hai tū
kam-himmat hai majbūr hai tū
yuuñ machhlī ko shaiḳhī na dikhā
kuchh himmat hai to sāmne aa
ab bol ki kyā tū uḌtī hai
aa chiil ke sāmne uḌ ke dikhā
ab bol ki kyā tū dauḌtī hai
aa ḳhargosh se race lagā
ab bol ki kyā tū tairtī hai
aa tū machhlī se pair milā
ab tū samjhī ab tū jaanī
ye bāteñ haiñ ānī-jānī
hai asal to ye kuchh kar ke dikhā
duniyā ye kahe kyā ḳhuub kiyā
jo gur sīkho puurā sīkho
jo kaam karo achchhā hī karo
hiran ka ek chhoTa bachcha
dariya ke kinare aa nikla
wahan pe ek bataKH bhi thi
machhli se wo ye kahti thi
main to dariya mein nahati hun
jab chahun main uD jati hun
thak jaun main to baiTh rahun
jab chahun main sabze pe chalun
tum to dariya ki machhli ho
pani mein rahti basti ho
tum meri tarah se chal na sako
tum meri tarah hil-jul na sako
tum meri tarah se aa na sako
tum meri tarah se ja na sako
ye baat suni ek sanp ne
ghusse se laga wo kanpne
wo bola kyun majbur hai tu
kam-himmat hai majbur hai tu
yun machhli ko shaiKHi na dikha
kuchh himmat hai to samne aa
ab bol ki kya tu uDti hai
aa chil ke samne uD ke dikha
ab bol ki kya tu dauDti hai
aa KHargosh se race laga
ab bol ki kya tu tairti hai
aa tu machhli se pair mila
ab tu samjhi ab tu jaani
ye baaten hain aani-jaani
hai asal to ye kuchh kar ke dikha
duniya ye kahe kya KHub kiya
jo gur sikho pura sikho
jo kaam karo achchha hi karo
- Book : Aankh Mecholi (Pg. 7)
- Author : M.K.Pasha
- Publication : Educational publishing house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.