barsat
vo dekho uThī kaalī kaalī ghaTā
hai chāroñ taraf chhāne vaalī ghaTā
ghaTā ke jo aane kī aahaT huī
havā meñ bhī ik sansanāhaT huī
ghaTā aan kar meñh jo barsā ga.ī
to be-jān miTTī meñ jaan aa ga.ī
zamīñ sabze se lahlahāne lagī
kisānoñ kī mehnat Thikāne lagī
jaḌī-būTiyāñ peḌ aa.e nikal
ajab bel patte ajab phuul phal
har ik peḌ kā yak nayā Dhañg hai
har ik phuul kā ik nayā rañg hai
ye do din meñ kyā mājrā ho gayā
ki jañgal kā jañgal harā ho gayā
jahāñ kal thā maidān chaTyal paḌā
vahāñ aaj hai ghaas kā ban paḌā
hazāroñ phudakne lage jānvar
nikal aa.e goyā ki miTTī ke par
wo dekho uThi kali kali ghaTa
hai chaaron taraf chhane wali ghaTa
ghaTa ke jo aane ki aahaT hui
hawa mein bhi ek sansanahaT hui
ghaTa aan kar meinh jo barsa gai
to be-jaan miTTi mein jaan aa gai
zamin sabze se lahlahane lagi
kisanon ki mehnat Thikane lagi
jaDi-buTiyan peD aae nikal
ajab bel patte ajab phul phal
har ek peD ka yak naya Dhang hai
har ek phul ka ek naya rang hai
ye do din mein kya majra ho gaya
ki jangal ka jangal hara ho gaya
jahan kal tha maidan chaTyal paDa
wahan aaj hai ghas ka ban paDa
hazaron phudakne lage jaanwar
nikal aae goya ki miTTi ke par
- Book : kachhua aur khargosh (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.