bachcha mazdur
maiñ huuñ ik bachcha mazdūr
bachpan se huuñ kosoñ duur
sub.h se kaam pe jaatā huuñ
shaam ko vāpas aatā huuñ
maiñ bhī paḌhnā chāhtā huuñ
aage baḌhnā chāhtā huuñ
khel kuud ko vaqt nahīñ
kyā jī maiñ bad-baḳht nahīñ
chāhtā huuñ ġhubbāre luuñ
ham-sin yāroñ se khelūñ
lekin kyā kar saktā huuñ
din bhar kaam pe rahtā huuñ
kis se dil kī baat kahūñ
kab tak maiñ ḳhud pe ro.uuñ
hālat se majbūr huuñ maiñ
aur bachcha mazdūr huuñ maiñ
kaash koī mujh ko samjhe
mujh se na bachpan chhīne
main hun ek bachcha mazdur
bachpan se hun koson dur
subh se kaam pe jata hun
sham ko wapas aata hun
main bhi paDhna chahta hun
aage baDhna chahta hun
khel kud ko waqt nahin
kya ji main bad-baKHt nahin
chahta hun ghubbare lun
ham-sin yaron se khelun
lekin kya kar sakta hun
din bhar kaam pe rahta hun
kis se dil ki baat kahun
kab tak main KHud pe roun
haalat se majbur hun main
aur bachcha mazdur hun main
kash koi mujh ko samjhe
mujh se na bachpan chhine
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 39)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.