ek makDa aur makkhi
Interesting Fact
بانگ درا
ik din kisī makkhī se ye kahne lagā makḌā
is raah se hotā hai guzar roz tumhārā
lekin mirī kuTiyā kī na jaagī kabhī qismat
bhūle se kabhī tum ne yahāñ paañv na rakkhā
ġhairoñ se na miliye to koī baat nahīñ hai
apnoñ se magar chāhiye yuuñ khiñch ke na rahnā
aao jo mire ghar meñ to izzat hai ye merī
vo sāmne sīḌhī hai jo manzūr ho aanā
makkhī ne sunī baat jo makḌe kī to bolī
hazrat kisī nādān ko dījegā ye dhokā
is jaal meñ makkhī kabhī aane kī nahīñ hai
jo aap kī sīḌhī pe chaḌhā phir nahīñ utrā
makḌe ne kahā vaah farebī mujhe samjhe
tum sā koī nādān zamāne meñ na hogā
manzūr tumhārī mujhe ḳhātir thī vagarna
kuchh fā.eda apnā to mirā is meñ nahīñ thā
uḌtī huī aa.ī ho ḳhudā jaane kahāñ se
Thahro jo mire ghar meñ to hai is meñ burā kyā
is ghar meñ ka.ī tum ko dikhāne kī haiñ chīzeñ
bāhar se nazar aatā hai chhoTī sī ye kuTiyā
laTke hue darvāzoñ pe bārīk haiñ parde
dīvāroñ ko ā.īnoñ se hai maiñ ne sajāyā
mehmānoñ ke ārām ko hāzir haiñ bichhaune
har shaḳhs ko sāmāñ ye mayassar nahīñ hotā
makkhī ne kahā ḳhair ye sab Thiik hai lekin
maiñ aap ke ghar aa.uuñ ye ummīd na rakhnā
in narm bichhaunoñ se ḳhudā mujh ko bachā.e
so jaa.e koī in pe to phir uTh nahīñ saktā
makḌe ne kahā dil meñ sunī baat jo us kī
phāñsūñ ise kis tarah ye kam-baḳht hai daanā
sau kaam ḳhushāmad se nikalte haiñ jahāñ meñ
dekho jise duniyā meñ ḳhushāmad kā hai bandā
ye soch ke makkhī se kahā us ne baḌī b
allāh ne baḳhshā hai baḌā aap ko rutba
hotī hai use aap kī sūrat se mohabbat
ho jis ne kabhī ek nazar aap ko dekhā
āñkheñ haiñ ki hiire kī chamaktī huī kaniyāñ
sar aap kā allāh ne kalġhī se sajāyā
ye husn ye poshāk ye ḳhūbī ye safā.ī
phir us pe qayāmat hai ye uḌte hue gaanā
makkhī ne sunī jab ye ḳhushāmad to pasījī
bolī ki nahīñ aap se mujh ko koī khaTkā
inkār kī aadat ko samajhtī huuñ burā maiñ
sach ye hai ki dil toḌnā achchhā nahīñ hotā
ye baat kahī aur uḌī apnī jagah se
paas aa.ī to makḌe ne uchhal kar use pakḌā
bhūkā thā ka.ī roz se ab haath jo aa.ī
ārām se ghar baiTh ke makkhī ko uḌāyā
ek din kisi makkhi se ye kahne laga makDa
is rah se hota hai guzar roz tumhaara
lekin meri kuTiya ki na jagi kabhi qismat
bhule se kabhi tum ne yahan panw na rakkha
ghairon se na miliye to koi baat nahin hai
apnon se magar chahiye yun khinch ke na rahna
aao jo mere ghar mein to izzat hai ye meri
wo samne siDhi hai jo manzur ho aana
makkhi ne suni baat jo makDe ki to boli
hazrat kisi nadan ko dijega ye dhoka
is jal mein makkhi kabhi aane ki nahin hai
jo aap ki siDhi pe chaDha phir nahin utra
makDe ne kaha wah farebi mujhe samjhe
tum sa koi nadan zamane mein na hoga
manzur tumhaari mujhe KHatir thi wagarna
kuchh faeda apna to mera is mein nahin tha
uDti hui aai ho KHuda jaane kahan se
Thahro jo mere ghar mein to hai is mein bura kya
is ghar mein kai tum ko dikhane ki hain chizen
bahar se nazar aata hai chhoTi si ye kuTiya
laTke hue darwazon pe barik hain parde
diwaron ko aainon se hai main ne sajaya
mehmanon ke aaram ko hazir hain bichhaune
har shaKHs ko saman ye mayassar nahin hota
makkhi ne kaha KHair ye sab Thik hai lekin
main aap ke ghar aaun ye ummid na rakhna
in narm bichhaunon se KHuda mujh ko bachae
so jae koi in pe to phir uTh nahin sakta
makDe ne kaha dil mein suni baat jo us ki
phansun ise kis tarah ye kam-baKHt hai dana
sau kaam KHushamad se nikalte hain jahan mein
dekho jise duniya mein KHushamad ka hai banda
ye soch ke makkhi se kaha us ne baDi b
allah ne baKHsha hai baDa aap ko rutba
hoti hai use aap ki surat se mohabbat
ho jis ne kabhi ek nazar aap ko dekha
aankhen hain ki hire ki chamakti hui kaniyan
sar aap ka allah ne kalghi se sajaya
ye husn ye poshak ye KHubi ye safai
phir us pe qayamat hai ye uDte hue gana
makkhi ne suni jab ye KHushamad to pasiji
boli ki nahin aap se mujh ko koi khaTka
inkar ki aadat ko samajhti hun bura main
sach ye hai ki dil toDna achchha nahin hota
ye baat kahi aur uDi apni jagah se
pas aai to makDe ne uchhal kar use pakDa
bhuka tha kai roz se ab hath jo aai
aaram se ghar baiTh ke makkhi ko uDaya
- Book : کلیات اقبال (Pg. 29)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.