nau-jawan KHatun se
hijāb-e-fitna-parvar ab uThā letī to achchhā thā
ḳhud apne husn ko pardā banā letī to achchhā thā
tirī nīchī nazar ḳhud terī ismat kī muhāfiz hai
tū is nashtar kī tezī aazmā letī to achchhā thā
tirī chīn-e-jabīñ ḳhud ik sazā qānūn-e-fitrat meñ
isī shamshīr se kār-e-sazā letī to achchhā thā
ye terā zard ruḳh ye ḳhushk lab ye vahm ye vahshat
tū apne sar se ye bādal haTā letī to achchhā thā
dil-e-majrūh ko majrūh-tar karne se kyā hāsil
tū aañsū poñchh kar ab muskurā letī to achchhā thā
tire zer-e-nagīñ ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho
maiñ ye kahtā huuñ tū arz-o-samā letī to achchhā thā
agar ḳhalvat meñ tū ne sar uThāyā bhī to kyā hāsil
bharī mahfil meñ aa kar sar jhukā letī to achchhā thā
tire māthe kā Tiikā mard kī qismat kā taarā hai
agar tū sāz-e-bedārī uThā letī to achchhā thā
ayaañ haiñ dushmanoñ ke ḳhanjaroñ par ḳhuun ke dhabbe
unheñ tū rañg-e-āriz se milā letī to achchhā thā
sanāneñ khīñch lī haiñ sar-phire bāġhī javānoñ ne
tū sāmān-e-jarāhat ab uThā letī to achchhā thā
tire māthe pe ye āñchal bahut hī ḳhuub hai lekin
tū is āñchal se ik parcham banā letī to achchhā thā
hijab-e-fitna-parwar ab uTha leti to achchha tha
KHud apne husn ko parda bana leti to achchha tha
teri nichi nazar KHud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achchha tha
teri chin-e-jabin KHud ek saza qanun-e-fitrat mein
isi shamshir se kar-e-saza leti to achchha tha
ye tera zard ruKH ye KHushk lab ye wahm ye wahshat
tu apne sar se ye baadal haTa leti to achchha tha
dil-e-majruh ko majruh-tar karne se kya hasil
tu aansu ponchh kar ab muskura leti to achchha tha
tere zer-e-nagin ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho
main ye kahta hun tu arz-o-sama leti to achchha tha
agar KHalwat mein tu ne sar uThaya bhi to kya hasil
bhari mahfil mein aa kar sar jhuka leti to achchha tha
tere mathe ka Tika mard ki qismat ka tara hai
agar tu saz-e-bedari uTha leti to achchha tha
ayan hain dushmanon ke KHanjaron par KHun ke dhabbe
unhen tu rang-e-ariz se mila leti to achchha tha
sananen khinch li hain sar-phire baghi jawanon ne
tu saman-e-jarahat ab uTha leti to achchha tha
tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin
tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 130)
- Author : Asrarul Haque Majaz
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.