mere purkhon ki pahli dua
raat kī kokh se
sub.h kī ek nannhī kiran ne janam yuuñ liyā
shab ne nannhī shafaq kī gulābī hasīñ muTThiyāñ khol kar
kuchh lakīreñ paḌhīñ
aur sabā se na ma.alūm chupke se kyā kah diyā
yuuñ ki shabnam kī āñkhoñ se aañsū bahe
ik sitāra hañsā
chāñdnī muskurātī huī chal paḌī
aur naqāhat se pahlū badalte hue
chauñk kar merī maañ ne baḌe shauq se
kuchh ishāra kiyā
āhaToñ aur sargoshiyoñ meñ kisī ne kahā
aah laḌkī hai ye
itnī afsurda āvāz mere ḳhudā
merī pahlī samā.at pe likkhī ga.ī
merī pahlī hī sāñsoñ meñ gholā gayā
in shikasta se lahjoñ kā zahrīlā-pan
aah laḌkī hai
laḌkī hai
laḌkī hai ye
is kī qismat kī māñgo duā
ab bhī merī samā.at pe likkhī hai vo
mere purkhoñ kī pahlī duā
raat ki kokh se
subh ki ek nannhi kiran ne janam yun liya
shab ne nannhi shafaq ki gulabi hasin muTThiyan khol kar
kuchh lakiren paDhin
aur saba se na malum chupke se kya kah diya
yun ki shabnam ki aankhon se aansu bahe
ek sitara hansa
chandni muskuraati hui chal paDi
aur naqahat se pahlu badalte hue
chaunk kar meri man ne baDe shauq se
kuchh ishaara kiya
aahaTon aur sargoshiyon mein kisi ne kaha
aah laDki hai ye
itni afsurda aawaz mere KHuda
meri pahli samaat pe likkhi gai
meri pahli hi sanson mein ghola gaya
in shikasta se lahjon ka zahrila-pan
aah laDki hai
laDki hai
laDki hai ye
is ki qismat ki mango dua
ab bhi meri samaat pe likkhi hai wo
mere purkhon ki pahli dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.