ghas to mujh jaisi hai
ghaas bhī mujh jaisī hai
pāñv-tale bichh kar hī zindagī kī murād paatī hai
magar ye bhiig kar kis baat gavāhī bantī hai
sharmsārī kī aañch kī
ki jazbe kī hiddat kī
ghaas bhī mujh jaisī hai
zarā sar uThāne ke qābil ho
to kāTne vaalī machine
use maḳhmal banāne kā saudā liye
hamvār kartī rahtī hai
aurat ko bhī hamvār karne ke liye
tum kaise kaise jatan karte ho
na zamīñ kī numū kī ḳhvāhish martī hai
na aurat kī
merī maano to vahī pagDanDī banāne kā ḳhayāl durust thā
jo hausloñ kī shikastoñ kī aañch na sah sakeñ
vo paivand-e-zamīñ ho kar
yūñhī zor-āvaroñ ke liye rāsta banāte haiñ
magar vo par-e-kāh haiñ
ghaas nahīñ
ghaas to mujh jaisī hai!
The grass is really like me
ghas bhi mujh jaisi hai
panw-tale bichh kar hi zindagi ki murad pati hai
magar ye bhig kar kis baat gawahi banti hai
sharmsari ki aanch ki
ki jazbe ki hiddat ki
ghas bhi mujh jaisi hai
zara sar uThane ke qabil ho
to kaTne wali machine
use maKHmal banane ka sauda liye
hamwar karti rahti hai
aurat ko bhi hamwar karne ke liye
tum kaise kaise jatan karte ho
na zamin ki numu ki KHwahish marti hai
na aurat ki
meri mano to wahi pagDanDi banane ka KHayal durust tha
jo hauslon ki shikaston ki aanch na sah saken
wo paiwand-e-zamin ho kar
yunhi zor-awaron ke liye rasta banate hain
magar wo par-e-kah hain
ghas nahin
ghas to mujh jaisi hai!
The grass is really like me
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 471)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.