bint-e-hawwa
bint-e-havvā huuñ maiñ ye mirā jurm hai
aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai
maiñ tamāshā nahīñ apnā iz.hār huuñ
soch saktī huuñ so lāyaq-dār huuñ
merā har harf har ik sadā jurm hai
aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai
mujh meñ ehsās kyuuñ ho ki aurat huuñ maiñ
zindagī kyuuñ lagūñ? bas zarūrat huuñ maiñ
ye mirī āgahī bhī mirā jurm hai
aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai
merā āñchal jale aur maiñ chup rahūñ
zulm sahtī rahūñ aur maiñ chup rahūñ
jāntī huuñ mirā bolnā jurm hai
aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai
mere jazbe raheñ dil ke zindān meñ
merī gustāḳhiyāñ aap kī shaan meñ
aap kā zikr bhī to baḌā jurm hai
aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai
bint-e-hawwa hun main ye mera jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
main tamasha nahin apna izhaar hun
soch sakti hun so layaq-dar hun
mera har harf har ek sada jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mujh mein ehsas kyun ho ki aurat hun main
zindagi kyun lagun? bas zarurat hun main
ye meri aagahi bhi mera jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mera aanchal jale aur main chup rahun
zulm sahti rahun aur main chup rahun
jaanti hun mera bolna jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mere jazbe rahen dil ke zindan mein
meri gustaKHiyan aap ki shan mein
aap ka zikr bhi to baDa jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.