bint-e-hawwa
bint-e-havvā huuñ maiñ 'aurat hai mirā ism-e-sharīf
hai ye pahchān mirī aur yahī hai tā'rīf
mujh ko hai faḳhr ki us qaum se nisbat hai mirī
fātima mariyam-o-sītā sī haiñ rahbar jis kī
maiñ bhī ashraf huuñ nigāhoñ meñ ḳhudā kī mere
merī to god meñ khele haiñ masīhā kitne
kitne valiyoñ ne mire haath kī roTī khaa.ī
kitne shāhoñ ne mire paañv meñ jannat paa.ī
maiñ hī patthar ke makānoñ ko banātī ghar huuñ
maiñ hī duniyā-e-mohabbat kā hasīñ mehvar huuñ
mere ausāf gināne ko ye kāġhaz kam haiñ
sinf-e-nāzuk huuñ magar ruuh mirī rustam hai
maiñ ne jazboñ kā tasadduq va bharam rakkhā hai
merī hī zaat se mansūb har ik rishta hai
maañ bahan huuñ kabhī biivī to kabhī beTī huuñ
koī kirdār ho mardoñ se vafā kartī huuñ
haañ magar shart-e-vafā ye hai ki pā.ūñ bhī vafā
maiñ bhī insān huuñ kamtar nahīñ rutba merā
aur rishtoñ se alag bhī hai mirī ik hastī
jo faqat ghar meñ hī mahdūd nahīñ rah saktī
ġhuncha-o-gul se bhī kab chāhiye tashbīh mujhe
husn-e-sīrat se mire dījiye tarjīh mujhe
merī zulfoñ mire kājal kī na bāteñ kariye
kuchh mire zauq-o-zehānat ko bhī achchhā kahiye
haisiyat ho nahīñ saktī nazar-andāz mirī
rok saktā nahīñ ab koī bhī parvāz mirī
āsmāñ kyā hai ḳhalā tak hai rasā.ī merī
'azm de saktā hai ḳhud baḌh ke gavāhī merī
indarā huuñ maiñ teresā huuñ malāla huuñ maiñ
jis ne duniyā ko jhukāyā vo irāda huuñ maiñ
merā hargiz nahīñ kahnā mujhe bartar samjheñ
mard hazrāt mujhe sirf barābar samjheñ
maiñ chalūñ shāna-ba-shāna to burā mat māneñ
merī hurmat merī 'azmat ko zarā pahchāneñ
bint-e-havvā huuñ 'hinā' baat baḌī hai merī
naam 'aurat hai mirā zaat baḌī hai merī
bint-e-hawwa hun main 'aurat hai mera ism-e-sharif
hai ye pahchan meri aur yahi hai ta'rif
mujh ko hai faKHr ki us qaum se nisbat hai meri
fatima mariyam-o-sita si hain rahbar jis ki
main bhi ashraf hun nigahon mein KHuda ki mere
meri to god mein khele hain masiha kitne
kitne waliyon ne mere hath ki roTi khai
kitne shahon ne mere panw mein jannat pai
main hi patthar ke makanon ko banati ghar hun
main hi duniya-e-mohabbat ka hasin mehwar hun
mere ausaf ginane ko ye kaghaz kam hain
sinf-e-nazuk hun magar ruh meri rustam hai
main ne jazbon ka tasadduq wa bharam rakkha hai
meri hi zat se mansub har ek rishta hai
man bahan hun kabhi biwi to kabhi beTi hun
koi kirdar ho mardon se wafa karti hun
han magar shart-e-wafa ye hai ki paun bhi wafa
main bhi insan hun kamtar nahin rutba mera
aur rishton se alag bhi hai meri ek hasti
jo faqat ghar mein hi mahdud nahin rah sakti
ghuncha-o-gul se bhi kab chahiye tashbih mujhe
husn-e-sirat se mere dijiye tarjih mujhe
meri zulfon mere kajal ki na baaten kariye
kuchh mere zauq-o-zehanat ko bhi achchha kahiye
haisiyat ho nahin sakti nazar-andaz meri
rok sakta nahin ab koi bhi parwaz meri
aasman kya hai KHala tak hai rasai meri
'azm de sakta hai KHud baDh ke gawahi meri
indara hun main teresa hun malala hun main
jis ne duniya ko jhukaya wo irada hun main
mera hargiz nahin kahna mujhe bartar samjhen
mard hazraat mujhe sirf barabar samjhen
main chalun shana-ba-shana to bura mat manen
meri hurmat meri 'azmat ko zara pahchanen
bint-e-hawwa hun 'hina' baat baDi hai meri
nam 'aurat hai mera zat baDi hai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.