aurat march: taswir ka dusra ruKH
suno bint-e-havvā!
maiñ aadam kā beTā huuñ
aao tasallī se nimTāyen jhagḌā
ye havvā kī izzat kā havvā banā kar dikhāyā gayā hai
mujhe tum se nāhaq laḌāyā gayā hai
maiñ aadam kā beTā huuñ aur jāntā huuñ
ki mard aur aurat hī fitrat kī gaaḌī ke pahiye haiñ do
aur donoñ hī lāzim haiñ donoñ zarūrī
na ho ek bhī to kahānī adhūrī
mujhe ye ḳhabar hai
ki mard aur aurat mohabbat ke sikke ke do ruḳh haiñ
aur donoñ ruḳh haiñ zarūrī
na ho ek bhī to kahānī adhūrī
tum aur maiñ bahut der se ham safar haiñ
tum aur maiñ ikaTThe hī jannat ke ghar se nikāle ga.e the
aur is ḳhāk-dāñ meñ uchhāle ga.e the
chalo maiñ ne maanā ki shahr-e-havas meñ haiñ kaafī darinde
jinhoñ ne sadā ibn-e-ādam kī shohrat ko pāmāl rakkhā
magar vo darinde to gintī ke haiñ
anginat mard vo haiñ jinhoñ ne tumheñ shān-o-takrīm baḳhshī
kabhī baap ban kar kabhī bhaa.ī ban kar kabhī beTā ban kar
vahī baap jis ne tumhāre liye apnī jaañ bech kar bhī khilaune ḳharīde
vahī bhaa.ī jis ne tumhāre dupaTTe ko qur.ān kī tarah pākīza jaanā
vahī beTā jis ne hamesha tumhāre hī pairoñ tale apnī jannat talāshī
ye sab mard haiñ aur tumhāre muhāfiz
galī meñ agar ik darinde ne tum par kasā koī jumla
ka.ī ajnabī mard bhī tab tumhārī hifāzat ko aa.e
koī mard tezāb-gardī ko aayā to kitne hī mardoñ ne tum ko bachāyā
suno bint-e-havvā
bahan bhī ho beTī bhī ho maañ bhī ho tum
mire saare dardoñ kā darmāñ bhī ho tum
magar ye bhī sach hai
tumhāre liye maiñ sharīk-e-hayāt o sharīk-e-safar huuñ
sharīk-e-ġham-e-jāñ sharīk-e-shab-e-ġham sharīk-e-sahar huuñ
tumhārā har ik ashk hai merā aañsū
tumhārī hañsī merī apnī hañsī hai
chalo sulh kar leñ
chalo apne bachchoñ kī ā.inda nasloñ kī ḳhātir
mohabbat kī ā.inda fasloñ kī ḳhātir
jhagaḌnā kareñ ḳhatm aur sulh kareñ
chaleñ aaj shāna-ba-shāna na.ī zindagī ke na.e march meñ ham
ki jis meñ chalegī barābar barābar
tumhārī bhī marzī
hamārī bhī marzī
suno bint-e-hawwa!
main aadam ka beTa hun
aao tasalli se nimTayen jhagDa
ye hawwa ki izzat ka hawwa bana kar dikhaya gaya hai
mujhe tum se nahaq laDaya gaya hai
main aadam ka beTa hun aur jaanta hun
ki mard aur aurat hi fitrat ki gaDi ke pahiye hain do
aur donon hi lazim hain donon zaruri
na ho ek bhi to kahani adhuri
mujhe ye KHabar hai
ki mard aur aurat mohabbat ke sikke ke do ruKH hain
aur donon ruKH hain zaruri
na ho ek bhi to kahani adhuri
tum aur main bahut der se hum safar hain
tum aur main ikaTThe hi jannat ke ghar se nikale gae the
aur is KHak-dan mein uchhaale gae the
chalo main ne mana ki shahr-e-hawas mein hain kafi darinde
jinhon ne sada ibn-e-adam ki shohrat ko pamal rakkha
magar wo darinde to ginti ke hain
anginat mard wo hain jinhon ne tumhein shan-o-takrim baKHshi
kabhi bap ban kar kabhi bhai ban kar kabhi beTa ban kar
wahi bap jis ne tumhaare liye apni jaan bech kar bhi khilaune KHaride
wahi bhai jis ne tumhaare dupaTTe ko quran ki tarah pakiza jaana
wahi beTa jis ne hamesha tumhaare hi pairon tale apni jannat talashi
ye sab mard hain aur tumhaare muhafiz
gali mein agar ek darinde ne tum par kasa koi jumla
kai ajnabi mard bhi tab tumhaari hifazat ko aae
koi mard tezab-gardi ko aaya to kitne hi mardon ne tum ko bachaya
suno bint-e-hawwa
bahan bhi ho beTi bhi ho man bhi ho tum
mere sare dardon ka darman bhi ho tum
magar ye bhi sach hai
tumhaare liye main sharik-e-hayat o sharik-e-safar hun
sharik-e-gham-e-jaan sharik-e-shab-e-gham sharik-e-sahar hun
tumhaara har ek ashk hai mera aansu
tumhaari hansi meri apni hansi hai
chalo sulh kar len
chalo apne bachchon ki aainda naslon ki KHatir
mohabbat ki aainda faslon ki KHatir
jhagaDna karen KHatm aur sulh karen
chalen aaj shana-ba-shana nai zindagi ke nae march mein hum
ki jis mein chalegi barabar barabar
tumhaari bhi marzi
hamari bhi marzi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.