aurat
tū prem mandir kī paak devī tū husn kī mamlikat kī raanī
hayāt-e-insāñ kī qismatoñ par tirī nigāhoñ kī hukmarānī
jahān-e-ulfat tirī qalam-rau harīm-e-dil terī rājdhānī
bahār-e-fitrat tire lab-e-lāl-gūñ kī doshīza muskurāhaT
nizām-e-kaunain terī āñkhoñ ke surḳh Doroñ kī thartharāhaT
faroġh-e-sad-kā.enāt terī jabīn sīmīñ kī zau-fishānī
bhaḌakte sīnoñ meñ bas rahī haiñ qarār ban kar tirī adā.eñ
tarastī rūhoñ ko jām-e-ishrat pilā rahī haiñ tirī vafā.eñ
rag-e-jahāñ meñ thirak rahī hai sharāb ban kar tirī javānī
dimāġh-e-parvar-digār meñ jo azal ke din se machal rahā thā
zabān-e-taḳhlīq-e-dahr se bhī na jis kā iz.hār ho sakā thā
numūd terī usī muqaddas hasīñ taḳhayyul kī tarjumānī
hai vādi-e-nīl par tirā abr-e-zulf sāya-kunāñ abhī tak
haiñ jām-e-īrāñ kī mai meñ tere laboñ kī shīrīniyāñ abhī tak
fasāna-go hai tirī abhī tak hadīs-e-yūnāñ kī ḳhūñ-chakānī'
hai terī ulfat ke raag par mauj-e-rūd-e-gañgā ko vajd ab tak
tirī mohabbat kī aag meñ jal rahā hai sahrā-e-najd ab tak
jamāl-e-zahra tire malā.ek fareb jalvoñ kī ik nishānī
tirī nigāhoñ ke sahar se gul-fishāñ hai sher o adab kī duniyā
tire tabassum ke kaif se hai ye ġham kī duniyā tarab kī duniyā
tire laboñ kī miThās se shakkarīñ hai zahrāb-e-zindagānī
tirā tabassum kalī kalī meñ tirā tarannum chaman chaman meñ
rumūz-e-hastī ke pech-o-ḳham tere gesuoñ kī shikan shikan meñ
kitāb-e-tārīḳh-e-zindagī ke varaq varaq par tirī kahānī
jo tū na hotī to yuuñ daraḳhshanda sham-e-bazm-e-jahāñ na hotī
vajūd-e-arz-o-samā na hotā numūd-e-kaun-o-makāñ na hotī
bashar kī mahdūdiyat kī ḳhātir tarastī aalam kī be-karānī
tu prem mandir ki pak dewi tu husn ki mamlikat ki rani
hayat-e-insan ki qismaton par teri nigahon ki hukmarani
jahan-e-ulfat teri qalam-rau harim-e-dil teri rajdhani
bahaar-e-fitrat tere lab-e-lal-gun ki doshiza muskurahaT
nizam-e-kaunain teri aankhon ke surKH Doron ki thartharahaT
farogh-e-sad-kaenat teri jabin simin ki zau-fishani
bhaDakte sinon mein bas rahi hain qarar ban kar teri adaen
tarasti ruhon ko jam-e-ishrat pila rahi hain teri wafaen
rag-e-jahan mein thirak rahi hai sharab ban kar teri jawani
dimagh-e-parwar-digar mein jo azal ke din se machal raha tha
zaban-e-taKHliq-e-dahr se bhi na jis ka izhaar ho saka tha
numud teri usi muqaddas hasin taKHayyul ki tarjumani
hai wadi-e-nil par tera abr-e-zulf saya-kunan abhi tak
hain jam-e-iran ki mai mein tere labon ki shiriniyan abhi tak
fasana-go hai teri abhi tak hadis-e-yunan ki KHun-chakani'
hai teri ulfat ke rag par mauj-e-rud-e-ganga ko wajd ab tak
teri mohabbat ki aag mein jal raha hai sahra-e-najd ab tak
jamal-e-zahra tere malaek fareb jalwon ki ek nishani
teri nigahon ke sahar se gul-fishan hai sher o adab ki duniya
tere tabassum ke kaif se hai ye gham ki duniya tarab ki duniya
tere labon ki miThas se shakkarin hai zahrab-e-zindagani
tera tabassum kali kali mein tera tarannum chaman chaman mein
rumuz-e-hasti ke pech-o-KHam tere gesuon ki shikan shikan mein
kitab-e-tariKH-e-zindagi ke waraq waraq par teri kahani
jo tu na hoti to yun daraKHshanda sham-e-bazm-e-jahan na hoti
wajud-e-arz-o-sama na hota numud-e-kaun-o-makan na hoti
bashar ki mahdudiyat ki KHatir tarasti aalam ki be-karani
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 209)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.