aurat
Interesting Fact
In February 1984, Habib Jalib addressed a women's rally against dictator Zia-ul-Haq. In the same meeting, Habib Jalib was beaten with sticks.
bāzār hai vo ab tak jis meñ tujhe nachvāyā
dīvār hai vo ab tak jis meñ tujhe chunvāyā
dīvār ko aa toḌeñ bāzār ko aa Dhā.eñ
insāf kī ḳhātir ham saḌkoñ pe nikal aa.eñ
majbūr ke sar par hai shāhī kā vahī saayā
bāzār hai vo ab tak jis meñ tujhe nachvāyā
taqdīr ke qadmoñ par sar rakh ke paḌe rahnā
tā.īd-e-sitamgar hai chup rah ke sitam sahnā
haq jis ne nahīñ chhīnā haq us ne kahāñ paayā
bāzār hai vo ab tak jis meñ tujhe nachvāyā
kuTiyā meñ tirā pīchhā ġhurbat ne nahīñ chhoḌā
aur mahl-sarā meñ bhī zardār ne dil toḌā
uf tujh pe zamāne ne kyā kyā na sitam Dhāyā
bāzār hai vo ab tak jis meñ tujhe nachvāyā
tū aag meñ ai aurat zinda bhī jalī barsoñ
sāñche meñ har ik ġham ke chup-chāp Dhalī barsoñ
tujh ko kabhī jalvāyā tujh ko kabhī gaḌvāyā
bāzār hai vo ab tak jis meñ tujhe nachvāyā
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
diwar hai wo ab tak jis mein tujhe chunwaya
diwar ko aa toDen bazar ko aa Dhaen
insaf ki KHatir hum saDkon pe nikal aaen
majbur ke sar par hai shahi ka wahi saya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
taqdir ke qadmon par sar rakh ke paDe rahna
taid-e-sitamgar hai chup rah ke sitam sahna
haq jis ne nahin chhina haq us ne kahan paya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
kuTiya mein tera pichha ghurbat ne nahin chhoDa
aur mahl-sara mein bhi zardar ne dil toDa
uf tujh pe zamane ne kya kya na sitam Dhaya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson
sanche mein har ek gham ke chup-chap Dhali barson
tujh ko kabhi jalwaya tujh ko kabhi gaDwaya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
- Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 217)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.