sawan
us kī palkoñ pe ghaTā ban ke jo chhāyā sāvan
phir to maiñ hañs paḌā kuchh is tarah barsā sāvan
chaḌhte sūraj ke shuāoñ se jo barsā sāvan
maiñ ne dekhā na sunā thā kabhī aisā sāvan
saarī jaañ khiñch ke chalī aa.ī mirī āñkhoñ meñ
phuul kī tarah khile zaḳhm jo aayā sāvan
ḳhirman-e-sabr ko bijlī ne jalāyā gir kar
jab kabhī dil kī tamannāoñ se uljhā sāvan
barq-o-bārāñ to hai tasvīr-e-hayāt-e-insāñ
hañs ke rone kā dikhātā hai tamāshā sāvan
yuuñ to pahle hī sameTe thā hazāroñ jalve
husn ke aks se kuchh aur bhī nikhrā sāvan
har taraf phuul khile rañg ke bādal barse
ai 'suhail' us kī nigāhoñ ne sajāyā sāvan
us ki palkon pe ghaTa ban ke jo chhaya sawan
phir to main hans paDa kuchh is tarah barsa sawan
chaDhte suraj ke shuaon se jo barsa sawan
main ne dekha na suna tha kabhi aisa sawan
sari jaan khinch ke chali aai meri aankhon mein
phul ki tarah khile zaKHm jo aaya sawan
KHirman-e-sabr ko bijli ne jalaya gir kar
jab kabhi dil ki tamannaon se uljha sawan
barq-o-baran to hai taswir-e-hayat-e-insan
hans ke rone ka dikhata hai tamasha sawan
yun to pahle hi sameTe tha hazaron jalwe
husn ke aks se kuchh aur bhi nikhra sawan
har taraf phul khile rang ke baadal barse
ai 'suhail' us ki nigahon ne sajaya sawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.