barsat
ḳhuub bādal kā barasnā pyaar hai barsāt meñ
rahmatoñ kā is tarah iz.hār hai barsāt meñ
arsh se aayā zamīñ meñ jazb paanī ho gayā
aap ko aane meñ ham tak aa rahe barsāt meñ
ai ḳhushā dil ab to sailāb-e-mohabbat aa.egā
aaj to bā-chashm-e-nam dildār hai barsāt meñ
yuuñ to piine ke bahut charche haiñ bazm-e-zohd meñ
kaun kāfir hai jise inkār hai barsāt meñ
taar bārish kā na TuuTe baj uTheñ tār-e-junūñ
āfrīñ dāmān-e-dil bhī taar hai barsāt meñ
dūsre sab mausamoñ meñ haiñ ravayye sard-o-garm
us ke lab par haañ magar iqrār hai barsāt meñ
ai 'suhail' us ko zarā khul kar barasnā chāhiye
ehtiyāt-e-husn-e-dil dil baar hai barsāt meñ
KHub baadal ka barasna pyar hai barsat mein
rahmaton ka is tarah izhaar hai barsat mein
arsh se aaya zamin mein jazb pani ho gaya
aap ko aane mein hum tak aa rahe barsat mein
ai KHusha dil ab to sailab-e-mohabbat aaega
aaj to ba-chashm-e-nam dildar hai barsat mein
yun to pine ke bahut charche hain bazm-e-zohd mein
kaun kafir hai jise inkar hai barsat mein
tar barish ka na TuTe baj uThen tar-e-junun
aafrin daman-e-dil bhi tar hai barsat mein
dusre sab mausamon mein hain rawayye sard-o-garm
us ke lab par han magar iqrar hai barsat mein
ai 'suhail' us ko zara khul kar barasna chahiye
ehtiyat-e-husn-e-dil dil bar hai barsat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.