aam-nama
Interesting Fact
Like Ghalib, Akbar Allahabadi too was extremely fond of mangoes. In a letter to his friend Munshi Nisar Husain, requesting him to send some mangoes during the season.
naama na koī yaar kā paiġhām bhejiye
is fasl meñ jo bhejiye bas aam bhejiye
aisā zarūr ho ki unheñ rakh ke khā sakūñ
puḳhta agarche biis to das ḳhaam bhejiye
ma.alūm hī hai aap ko bande kā address
sīdhe allahabad mire naam bhejiye
aisā na ho ki aap ye likkheñ javāb meñ
ta.amīl hogī pahle magar daam bhejiye
nama na koi yar ka paigham bhejiye
is fasl mein jo bhejiye bas aam bhejiye
aisa zarur ho ki unhen rakh ke kha sakun
puKHta agarche bis to das KHam bhejiye
malum hi hai aap ko bande ka address
sidhe allahabad mere nam bhejiye
aisa na ho ki aap ye likkhen jawab mein
tamil hogi pahle magar dam bhejiye
- Book : kulliyat-e-akbar (Pg. 214)
- Publication : farid book dipot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.