aam
abbā jab bāzār se aa.e
aate aate aam bhī laa.e
jitne hare the sab kachche the
pakke hue the narm rasīle
kachche to the saḳht aur khaTTe
do do aam diye the ham ko
do aapā ko do aadam ko
mere aam bahut mīThe the
aadam ke bilkul khaTTe the
aam ke naam na jaane kyā the
totā parī nīlam the kyā the
aam kī nazm amīn-'hazīñ' kī
paḌh ke muñh meñ aayā paanī
abba jab bazar se aae
aate aate aam bhi lae
jitne hare the sab kachche the
pakke hue the narm rasile
kachche to the saKHt aur khaTTe
do do aam diye the hum ko
do aapa ko do aadam ko
mere aam bahut miThe the
aadam ke bilkul khaTTe the
aam ke nam na jaane kya the
tota pari nilam the kya the
aam ki nazm amin-'hazin' ki
paDh ke munh mein aaya pani
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 23)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.