bahut KHub-surat hamara watan hai
bahut ḳhūbsūrat hamārā vatan hai
anokhā hai sab se nirālā vatan hai
sabhī rang ke phuul is meñ khile haiñ
bahishtī manāzir bhī is ko mile haiñ
kahīñ rāt-rānī kī ḳhushbū basī hai
kahīñ par chamelī kī nik.hat ghulī hai
kahīñ par dhanak sāt-rañgī tanī hai
kahīñ nuur kī koī chādar bichhī hai
kisī samt meñ koī dariyā ravāñ hai
kahīñ kohsāroñ kā dilkash samāñ hai
kahīñ laal piile hare qumqume haiñ
kahīñ pāniyoñ meñ diye jal rahe haiñ
kahīñ paa.e jāmoñ meñ Topī khaḌī hai
kahīñ paañv meñ koī dhotī bañdhī hai
kahīñ suiT saaḌī kī raunaq lagī hai
kahīñ ghāghre kī ajab dilkashī hai
kisī kī hathelī pe mehñdī rachī hai
kisī paañv meñ koī laalī lagī hai
kisī sar pe bāloñ ke guchchhe bane haiñ
kahīñ baal pairoñ pe laTke hue haiñ
kahīñ saat rangoñ kī pichkāriyāñ haiñ
ki jin se badan-bīch gul-kāriyāñ haiñ
kahīñ geñd balle se lag kar hai uḌtī
kahīñ koī DanDe se gillī uchhaltī
zamīñ ko bichhā.e koī so rahā hai
ka.ī ḳhvāb bhī niiñd meñ bo rahā hai
koī pāniyoñ meñ chhalāñgeñ lagātā
ḳhalāoñ meñ koī hai kartab dikhātā
koī saañp ko apnā sāthī banātā
use biin kī apnī dhun par nachātā
koī apne añgoñ kā aasan lagātā
koī apne tan kā tamāshā dikhātā
koī apnī āñkhoñ se man jīt.tā hai
adāoñ se duniyā kā dhan jīt.tā hai
jidhar dekhiye ik anokhā samāñ hai
udāsī meñ bhī zindagī shādmāñ hai
har ik tarah se ye niyārā vatan hai
bahut ḳhūbsūrat hamārā vatan hai
bahut KHubsurat hamara watan hai
anokha hai sab se nirala watan hai
sabhi rang ke phul is mein khile hain
bahishti manazir bhi is ko mile hain
kahin raat-rani ki KHushbu basi hai
kahin par chameli ki nikhat ghuli hai
kahin par dhanak sat-rangi tani hai
kahin nur ki koi chadar bichhi hai
kisi samt mein koi dariya rawan hai
kahin kohsaron ka dilkash saman hai
kahin lal pile hare qumqume hain
kahin paniyon mein diye jal rahe hain
kahin pae jamon mein Topi khaDi hai
kahin panw mein koi dhoti bandhi hai
kahin suiT saDi ki raunaq lagi hai
kahin ghaghre ki ajab dilkashi hai
kisi ki hatheli pe mehndi rachi hai
kisi panw mein koi lali lagi hai
kisi sar pe baalon ke guchchhe bane hain
kahin baal pairon pe laTke hue hain
kahin sat rangon ki pichkariyan hain
ki jin se badan-bich gul-kariyan hain
kahin gend balle se lag kar hai uDti
kahin koi DanDe se gilli uchhalti
zamin ko bichhae koi so raha hai
kai KHwab bhi nind mein bo raha hai
koi paniyon mein chhalangen lagata
KHalaon mein koi hai kartab dikhata
koi sanp ko apna sathi banata
use bin ki apni dhun par nachata
koi apne angon ka aasan lagata
koi apne tan ka tamasha dikhata
koi apni aankhon se man jitta hai
adaon se duniya ka dhan jitta hai
jidhar dekhiye ek anokha saman hai
udasi mein bhi zindagi shadman hai
har ek tarah se ye niyara watan hai
bahut KHubsurat hamara watan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.