nuqsan ho raha hai bahut karobar mein
nuqsān ho rahā hai bahut kārobār meñ
abbā paḌe haiñ jab se paḌosan ke pyaar meñ
sau koshishoñ se aa.e the chañdiyā pe chaar baal
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
nā-ahl hī milī mujhe har ek ahliya
maiñ ne kiye nikāh sab yaaro udhār meñ
bantī na surma pasliyāñ aur phūTtā na sar
hotī agar zabān mire iḳhtiyār meñ
añgrezī guftugū kā baḌā fā.eda huā
chhe saat chāñd lag ga.e mere vaqār meñ
jab se makāñ badal ga.iiñ donoñ paḌosaneñ
lagtā nahīñ hai jī mirā ujḌe dayār meñ
nuqsan ho raha hai bahut karobar mein
abba paDe hain jab se paDosan ke pyar mein
sau koshishon se aae the chandiya pe chaar baal
do aarzu mein kaT gae do intizar mein
na-ahl hi mili mujhe har ek ahliya
main ne kiye nikah sab yaro udhaar mein
banti na surma pasliyan aur phuTta na sar
hoti agar zaban mere iKHtiyar mein
angrezi guftugu ka baDa faeda hua
chhe sat chand lag gae mere waqar mein
jab se makan badal gain donon paDosanen
lagta nahin hai ji mera ujDe dayar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.