kasmasane ki ijazat nahin di jaegi
kasmasāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
bilbilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
ek raqqās ne gā gā ke sunā.ī ye ḳhabar
naach gaane kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
is se andesha-e-fardā kī jueñ jhaḌtī haiñ
sar khujāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
is se tajdīd-e-tamannā kī havā aatī hai
dum hilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
us ke ruḳhsār pe hai aur tire hoñT pe til
tilmilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
ye sharī.at kā nahīñ gas kā bil hai begam
bilbilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
kasmasane ki ijazat nahin di jaegi
bilbilane ki ijazat nahin di jaegi
ek raqqas ne ga ga ke sunai ye KHabar
nach gane ki ijazat nahin di jaegi
is se andesha-e-farda ki juen jhaDti hain
sar khujaane ki ijazat nahin di jaegi
is se tajdid-e-tamanna ki hawa aati hai
dum hilane ki ijazat nahin di jaegi
us ke ruKHsar pe hai aur tere honT pe til
tilmilane ki ijazat nahin di jaegi
ye shariat ka nahin gas ka bil hai begam
bilbilane ki ijazat nahin di jaegi
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 105)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.