jab bhi begam ki did hoti hai
jab bhī begam kī diid hotī hai
ek zahmat mazīd hotī hai
muskurāte haiñ aaj kyoñ murshid
koī laḌkī murīd hotī hai
yaad aate haiñ ham bhī sāloñ ko
jab zarūrat shadīd hotī hai
chāñd sūraj zamīñ se ugte haiñ
shā.irī jab jadīd hotī hai
sach hī kahte haiñ ghar-jañvā.ī kī
zindagī zar-ḳharīd hotī hai
ab bachā.e ḳhudā balāoñ se
un se guft-o-shunīd hotī hai
dosto zan-zada ġharīboñ kī
kyā kahūñ kaise iid hotī hai
laḌ ke milne se mil ke laḌne se
hasrat-e-dil mazīd hotī hai
hai himāqat 'rahīm' shādī bhī
is se miTTī palīd hotī hai
jab bhi begam ki did hoti hai
ek zahmat mazid hoti hai
muskuraate hain aaj kyon murshid
koi laDki murid hoti hai
yaad aate hain hum bhi salon ko
jab zarurat shadid hoti hai
chand suraj zamin se ugte hain
shairi jab jadid hoti hai
sach hi kahte hain ghar-janwai ki
zindagi zar-KHarid hoti hai
ab bachae KHuda balaon se
un se guft-o-shunid hoti hai
dosto zan-zada gharibon ki
kya kahun kaise id hoti hai
laD ke milne se mil ke laDne se
hasrat-e-dil mazid hoti hai
hai himaqat 'rahim' shadi bhi
is se miTTi palid hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.