Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

Rauf Raheem

ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

    ham se ḳhush-fahmoñ yaaro ye ḳhayāl achchhā hai

    na harām achchhā hai yaaro na halāl achchhā hai

    khā ke pach jaa.e jo ham ko vahī maal achchhā hai

    sirf na.aroñ se ġharībī to nahīñ miT saktī

    mulk se saare ġharīboñ ko nikāl achchhā hai

    saath begam ke milā karte haiñ das biis hazār

    muft ke māloñ meñ sasurāl maal achchhā hai

    nurse ko dekh ke aa jaatī hai muñh pe raunaq

    vo samajhte haiñ ki bīmār haal achchhā hai

    jhiḌkiyāñ sun ke udhar ham ko idhar DāñTte ho

    apnī ghar vaalī amale pe vabāl achchhā hai

    daam ġhalle ke hue jaate haiñ sar se ūñche

    achchhe leader ho ġharīboñ ḳhayāl achchhā hai

    tamkanat chaal meñ chehre pe matānat aa.ī

    husn us shoḳh maa.il ba-zavāl achchhā hai

    apne ustād ke sheroñ tiyā pāñcha kiyā

    ai rahīm aap ke fan meñ ye kamāl achchhā hai

    ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

    hum se KHush-fahmon ka yaro ye KHayal achchha hai

    na haram achchha hai yaro na halal achchha hai

    kha ke pach jae jo hum ko wahi mal achchha hai

    sirf naron se gharibi to nahin miT sakti

    mulk se sare gharibon ko nikal achchha hai

    sath begam ke mila karte hain das bis hazar

    muft ke malon mein sasural ka mal achchha hai

    nurse ko dekh ke aa jati hai munh pe raunaq

    wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai

    jhiDkiyan sun ke udhar hum ko idhar DanTte ho

    apni ghar wali ka amale pe wabaal achchha hai

    dam ghalle ke hue jate hain sar se unche

    achchhe leader ho gharibon ka KHayal achchha hai

    tamkanat chaal mein chehre pe matanat aai

    husn us shoKH ka mail ba-zawal achchha hai

    apne ustad ke sheron ka tiya pancha kiya

    ai rahim aap ke fan mein ye kamal achchha hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now