hum roz jo laDte hain tamasha nahin hota
ham roz jo laḌte haiñ tamāshā nahīñ hotā
ma.amūl kā jhagḌā koī jhagḌā nahīñ hotā
maiñ bachche khilātā huuñ to vo jaate haiñ picture
ye roz kā rātib hai jo nāġha nahīñ hotā
leader kī ye pahchān ki vo phūltā jaa.e
shā.ir kī ye pahchān ki moTā nahīñ hotā
har ek mulāzim kā hai ye haal ki ghar meñ
chāval nahīñ hote kabhī aaTā nahīñ hotā
ye soch ki lauTātā nahīñ qarz kisī kā
ahbāb se māñgā huā qarzā nahīñ hotā
gar lāTrī uTh jaa.e to kyā ThaaT se guzre
ye ḳhvāb hai andhoñ kā jo puurā nahīñ hotā
har chiiz kī qillat hai 'rahīm' aaj vatan meñ
afsos ki kumba koī chhoTā nahīñ hotā
hum roz jo laDte hain tamasha nahin hota
mamul ka jhagDa koi jhagDa nahin hota
main bachche khilata hun to wo jate hain picture
ye roz ka raatib hai jo nagha nahin hota
leader ki ye pahchan ki wo phulta jae
shair ki ye pahchan ki moTa nahin hota
har ek mulazim ka hai ye haal ki ghar mein
chawal nahin hote kabhi aaTa nahin hota
ye soch ki lauTata nahin qarz kisi ka
ahbab se manga hua qarza nahin hota
gar laTri uTh jae to kya ThaT se guzre
ye KHwab hai andhon ka jo pura nahin hota
har chiz ki qillat hai 'rahim' aaj watan mein
afsos ki kumba koi chhoTa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.