fasad har jagah barpa hai kya kiya jae
fasād har jagah barpā hai kyā kiyā jaa.e
mizāj-e-qaum hī aisā hai kyā kiyā jaa.e
jo maz.habī the masā.il vo ab siyāsī haiñ
yahīñ to daal meñ kaalā hai kyā kiyā jaa.e
udhār piite the ġhālib to ye churātā hai
chachā se aage bhatījā hai kyā kiyā jaa.e
ham apnī naak khujāne se ho ga.e qāsir
hamāre sāmne nakTā hai kyā kiyā jaa.e
hai ḳhud-kushī hī ab anjām ishq-bāzī kā
hamāre ḳhvāb meñ rekhā hai kyā kiyā jaa.e
adū ke ghūñse haiñ to mār-pīT sāloñ kī
yahī to ishq meñ hotā hai kyā kiyā jaa.e
purānā shahr hai badnām qatl-o-ḳhūñ ke liye
magar isī meñ to jiinā hai kyā kiyā jaa.e
har ek sher hamārā hai tanz kā nashtar
hamārā lahja hī tīkhā hai kyā kiyā jaa.e
Dhakā chhupā nahīñ farhād-o-qais kā anjām
'rahīm' aql kā andhā hai kyā kiyā jaa.e
fasad har jagah barpa hai kya kiya jae
mizaj-e-qaum hi aisa hai kya kiya jae
jo mazhabi the masail wo ab siyasi hain
yahin to dal mein kala hai kya kiya jae
udhaar pite the ghaalib to ye churaata hai
chacha se aage bhatija hai kya kiya jae
hum apni nak khujaane se ho gae qasir
hamare samne nakTa hai kya kiya jae
hai KHud-kushi hi ab anjam ishq-bazi ka
hamare KHwab mein rekha hai kya kiya jae
adu ke ghunse hain to mar-piT salon ki
yahi to ishq mein hota hai kya kiya jae
purana shahr hai badnam qatl-o-KHun ke liye
magar isi mein to jina hai kya kiya jae
har ek sher hamara hai tanz ka nashtar
hamara lahja hi tikha hai kya kiya jae
Dhaka chhupa nahin farhad-o-qais ka anjam
'rahim' aql ka andha hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.