ek shair ka hun mehman KHuda KHair kare
ek shā.ir kā huuñ mehmān ḳhudā ḳhair kare
us ke hāthoñ meñ hai dīvān ḳhudā ḳhair kare
maiñ huuñ lāġhar vo pahlavān ḳhudā ḳhair kare
merī aafat meñ phañsī jaan ḳhudā ḳhair kare
niiñd meñ chīḳhtā rahtā hai vo chauvvā chhakkā
us pe cricket kā hai shaitān ḳhudā ḳhair kare
mujh se begam kā taqābul to faqat itnā hai
maiñ diyā huuñ to vo tūfān ḳhudā ḳhair kare
ghar meñ chāval hai na aaTā hai na adrak lahsan
phir bhī picture kā hai armān ḳhudā ḳhair kare
chheḌ kar aayā thā jis shoḳh hasīna ko abhī
bhaa.ī us kā hai pahlavān ḳhudā ḳhair kare
peT meñ aañt nahīñ muñh meñ koī daañt nahīñ
us pe shādī kā hai sāmān ḳhudā ḳhair kare
kitnī ġhazloñ ko ḳhudā jaane sunā.eñge 'rahīm'
haiñ tarannum meñ jo ġhaltān ḳhudā ḳhair kare
ek shair ka hun mehman KHuda KHair kare
us ke hathon mein hai diwan KHuda KHair kare
main hun laghar wo pahlawan KHuda KHair kare
meri aafat mein phansi jaan KHuda KHair kare
nind mein chiKHta rahta hai wo chauwwa chhakka
us pe cricket ka hai shaitan KHuda KHair kare
mujh se begam ka taqabul to faqat itna hai
main diya hun to wo tufan KHuda KHair kare
ghar mein chawal hai na aaTa hai na adrak lahsan
phir bhi picture ka hai arman KHuda KHair kare
chheD kar aaya tha jis shoKH hasina ko abhi
bhai us ka hai pahlawan KHuda KHair kare
peT mein aant nahin munh mein koi dant nahin
us pe shadi ka hai saman KHuda KHair kare
kitni ghazlon ko KHuda jaane sunaenge 'rahim'
hain tarannum mein jo ghaltan KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.