do Tuk
shādī ke chand roz to chheḌī na koī baat
haa.il hamāre beach rahe kuchh takallufāt
phir ek din jo un se mirī guftugū huī
do Tuuk bāt-chīt huī dū-badū huī
pūchhā ki nāshte kā koī intizām hai
bolīñ mujhe patā ho tū mujh par harām hai
maiñ ne kahā ki chaa.e kī pyālī atā kareñ
kahne lagīñ ki baat na aisī kiyā kareñ
maiñ ne kahā chaleñ zarā anDā ubaal deñ
bolīñ mujhe na aap ye kār-e-muhāl deñ
pūchhā ki jāntī to haiñ chāval ubālnā
bolīñ balā ab apnī mire sar na Dālnā
maiñ ne kahā ki hai koī roTī kā aasrā
bolīñ khule hue to haiñ tandūr jā bajā
maiñ ne kahā ki gosht pakāne kī taab hai
bolīñ kī Tin ke paik meñ sab dastiyāb hai
maiñ ne kahā ki daal yā sabzī banā.iye
kahne lagīñ ḳhayāl ye dil se nikāliye
maiñ ne kahā ki khānā pakānā hai zindagī
bolīñ ki jo pake use khānā hai zindagī
aapas meñ faisla koī karnā thā ham ko aaj
pūchhā karegā kaun bhalā ghar kā kām-kāj
bolīñ ki kaam karne kī ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ
biivī huuñ aap kī koī shauhar nahīñ huuñ maiñ
shadi ke chand roz to chheDi na koi baat
hail hamare beach rahe kuchh takallufat
phir ek din jo un se meri guftugu hui
do Tuk baat-chit hui du-badu hui
puchha ki nashte ka koi intizam hai
bolin mujhe pata ho tu mujh par haram hai
main ne kaha ki chae ki pyali ata karen
kahne lagin ki baat na aisi kiya karen
main ne kaha chalen zara anDa ubaal den
bolin mujhe na aap ye kar-e-muhaal den
puchha ki jaanti to hain chawal ubaalna
bolin bala ab apni mere sar na Dalna
main ne kaha ki hai koi roTi ka aasra
bolin khule hue to hain tandur ja baja
main ne kaha ki gosht pakane ki tab hai
bolin ki Tin ke paik mein sab dastiyab hai
main ne kaha ki dal ya sabzi banaiye
kahne lagin KHayal ye dil se nikaliye
main ne kaha ki khana pakana hai zindagi
bolin ki jo pake use khana hai zindagi
aapas mein faisla koi karna tha hum ko aaj
puchha karega kaun bhala ghar ka kaam-kaj
bolin ki kaam karne ki KHugar nahin hun main
biwi hun aap ki koi shauhar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.