baghicha-e-atfal hai kuTiya mere aage
bāġhīcha-e-atfāl hai kuTiyā mire aage
gorā mire pīchhe hai to kaalā mire aage
is daur meñ jhūToñ hī kī hotī hai ḳhushāmad
leader ko burā kyoñ kaho achchhā mire aage
aayā huuñ jo dubai se to ye chaav haiñ mere
saalī mire pīchhe hai to saalā mire aage
schōl kī ta.alīm ne gul aisā khilāyā
ab āñkheñ dikhātā hai bhatījā mire aage
laayā thā bhagā kar mujhe le bhāgī vo ghar se
jo maiñ ne kiyā thā vahī aayā mire aage
aġhyār hasīñ hoñ to maiñ huuñ un kā bhī āshiq
yaksāñ hai har ik apnā parāyā mire aage
qismat ko na kos apnī 'rahīm' itnā samajh le
auroñ se kiyā maiñ ne jo aayā mire aage
baghicha-e-atfal hai kuTiya mere aage
gora mere pichhe hai to kala mere aage
is daur mein jhuTon hi ki hoti hai KHushamad
leader ko bura kyon kaho achchha mere aage
aaya hun jo dubai se to ye chaw hain mere
sali mere pichhe hai to sala mere aage
school ki talim ne gul aisa khilaya
ab aankhen dikhata hai bhatija mere aage
laya tha bhaga kar mujhe le bhagi wo ghar se
jo main ne kiya tha wahi aaya mere aage
aghyar hasin hon to main hun un ka bhi aashiq
yaksan hai har ek apna paraya mere aage
qismat ko na kos apni 'rahim' itna samajh le
auron se kiya main ne jo aaya mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.