scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad
scent kī kajle kī aur ġhāze kī gul-kārī ke ba.ad
vo hasīñ lagtī hai lekin kitnī tayyārī ke ba.ad
muddatoñ ke ba.ad us ko dekh kar aisā lagā
jaise roza-dār kī hālat ho aftārī ke ba.ad
bāñdh kar sahrā nazar aa.e hai yuuñ nausha-miyāñ
jis tarah mujrim dikhā.ī de giraftārī ke ba.ad
heroine pachpan baras kī ho chukīñ to ġham nahīñ
ab gulū-kārī kareñgī vo adākārī ke ba.ad
qaum ko bedār kar disco-music chheḌ kar
jo bichārī so chukī hai rāg-darbārī ke ba.ad
iid par masrūr haiñ donoñ miyāñ biivī bahut
ik ḳharīdārī se pahle ik ḳharīdārī ke ba.ad
aqd-e-sānī kā mazā pūchā to bole shaiḳh-jī
aise lagtā hai chikan chakkhā hai tarkārī ke ba.ad
rāh-e-ulfat kī traffic ho ki motor-way kī ho
hādse hote haiñ 'shāhid' tez-raftārī ke ba.ad
scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad
wo hasin lagti hai lekin kitni tayyari ke baad
muddaton ke baad us ko dekh kar aisa laga
jaise roza-dar ki haalat ho aftari ke baad
bandh kar sahra nazar aae hai yun nausha-miyan
jis tarah mujrim dikhai de giraftari ke baad
heroine pachpan baras ki ho chukin to gham nahin
ab gulu-kari karengi wo adakari ke baad
qaum ko bedar kar disco-music chheD kar
jo bichaari so chuki hai rag-darbari ke baad
id par masrur hain donon miyan biwi bahut
ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad
aqd-e-sani ka maza pucha to bole shaiKH-ji
aise lagta hai chikan chakkha hai tarkari ke baad
rah-e-ulfat ki traffic ho ki motor-way ki ho
hadse hote hain 'shahid' tez-raftari ke baad
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 32)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.