TuTa tha ghar mein kya kya ye arz phir karunga
TuTa tha ghar mein kya kya ye arz phir karunga
Ameerul Islam Hashmi
MORE BYAmeerul Islam Hashmi
TuuTā thā ghar meñ kyā kyā ye arz phir karūñgā
phir ghar meñ kyā huā thā ye arz phir karūñgā
itnā baḌā lifāfa aur kaam thā zarā sā
kyā kaam thā zarā sā ye arz phir karūñgā
mullā na kyā kiyā thā mullā na kyā kyā hai
mullā karegā kyā kyā ye arz phir karūñgā
dekhā jo shaiḳh-jī ne bole ki muḳhtasar hai
vo kyā hai muḳhtasar sā ye arz phir karūñgā
shānoñ pe jo paḌā thā kahne ko thā dupaTTa
kyā kuchh Dhakā chhupā thā ye arz phir karūñgā
laḌkī classici kī thī laḌkā classical thā
kaisā thā vo do-shāḳha ye arz phir karūñgā
araqunnisā kā nusḳha mehrunnisā ne likkhā
nusḳhe meñ kyā likhā thā ye arz phir karūñgā
be-vazn sab the shā.ir ruq.e magar the vaznī
roq.oñ kā vazn kyā thā ye arz phir karūñgā
laḌkī ne bhī qubūlā laḌke ne bhī qubūlā
donoñ ne kyā qubūlā ye arz phir karūñgā
kuchh arz kar diyā hai kuchh arz phir karūñgā
kyā arz phir karūñgā ye arz phir karūñgā
TuTa tha ghar mein kya kya ye arz phir karunga
phir ghar mein kya hua tha ye arz phir karunga
itna baDa lifafa aur kaam tha zara sa
kya kaam tha zara sa ye arz phir karunga
mulla na kya kiya tha mulla na kya kya hai
mulla karega kya kya ye arz phir karunga
dekha jo shaiKH-ji ne bole ki muKHtasar hai
wo kya hai muKHtasar sa ye arz phir karunga
shanon pe jo paDa tha kahne ko tha dupaTTa
kya kuchh Dhaka chhupa tha ye arz phir karunga
laDki classici ki thi laDka classical tha
kaisa tha wo do-shaKHa ye arz phir karunga
araqunnisa ka nusKHa mehrunnisa ne likkha
nusKHe mein kya likha tha ye arz phir karunga
be-wazn sab the shair ruqe magar the wazni
roqon ka wazn kya tha ye arz phir karunga
laDki ne bhi qubula laDke ne bhi qubula
donon ne kya qubula ye arz phir karunga
kuchh arz kar diya hai kuchh arz phir karunga
kya arz phir karunga ye arz phir karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.