shair ki biwi
bahut mazlūm hai is shahr meñ shā.ir kī ghar vaalī
mohabbat kī ġhizā se ab tak us kā peT hai ḳhālī
ye gorī raat kī tanhā.iyoñ meñ ho ga.ī kaalī
karachi meñ jo rahtī hai ye aisī hai miyāñ-vālī
'nadīm' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taaj hai is kā
adab kī ḳhaak par baiThā huā sartāj hai is kā
ye us shā.ir kī biivī hai jo shā.ir ḳhāndānī hai
ġhazal jis kī zamīn-e-tañg meñ bhī āsmānī hai
is international shā.ir meñ dariyā kī ravānī hai
dubai jeddah abu-dhabi tak is ne ḳhaak chhānī hai
ġhazal paḌhne se bilkul actor ma.alūm hotā hai
baḌhī haiñ is qadar zulfeñ 'jigar' ma.alūm hotā hai
guzartī hai hamesha ghar se bāhar zindagī is kī
bahut mahdūd ho kar rah ga.ī hai family us kī
sadā kaTtī hai bazm-e-shā.irī meñ raat bhī us kī
sahar ke chhe baje hotī hai aksar vāpsī us kī
magar shā.ir kī biivī phir bhī us kī nām-levā hai
jo din meñ to suhāgan hai magar rātoñ ko beva hai
guzartī hai baḌī mushkil se bechārī kī raat āḳhir
kalām-e-'josh' paḌh ke ġham se paatī hai najāt āḳhir
rahegī ghar meñ tanhā kab talak aurat kī zaat āḳhir
na ho shauhar to paḌh letī hai ''yādoñ-kī-barāt'' āḳhir
kalām-e-'josh' tanhā.ī meñ ye rozāna paḌhtī hai
ki jo rizvān paḌhtā hai vahī rizvāna paḌhtī hai
abhī guDDū huā hai aur abhī ummīd-e-sīmā hai
jo qabl-az-vaqt aa pahuñche ye ik aisā zamīma hai
banā de ghar ko tārīḳhī yahī shā.ir kā iimā hai
agar shā.ir kā ghar dekho to āsār-e-qadīma hai
numā.ish is tarah shā.ir ne bachchoñ kī lagā.ī hai
ki jaise us ke majmūe kī rasm-e-rū-numā.ī hai
kahā shā.ir ne biivī se ki tum merī qayāfa ho
mire bachche mirā mazmūñ haiñ tum ḳhālī lifāfa ho
hudūd-e-zindagī meñ ġhair-ma.amūlī izāfa ho
mire dil kī hukūmat kā tumhīñ dār-ul-ḳhilāfa ho
na jis se pyaas bujh paa.e vo ''K-M-C'' kā nal tum ho
haqīqat ye hai merī ġhair-matbūa ġhazal tum ho
bahut mazlum hai is shahr mein shair ki ghar wali
mohabbat ki ghiza se ab tak us ka peT hai KHali
ye gori raat ki tanhaiyon mein ho gai kali
karachi mein jo rahti hai ye aisi hai miyan-wali
'nadim' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taj hai is ka
adab ki KHak par baiTha hua sartaj hai is ka
ye us shair ki biwi hai jo shair KHandani hai
ghazal jis ki zamin-e-tang mein bhi aasmani hai
is international shair mein dariya ki rawani hai
dubai jeddah abu-dhabi tak is ne KHak chhani hai
ghazal paDhne se bilkul actor malum hota hai
baDhi hain is qadar zulfen 'jigar' malum hota hai
guzarti hai hamesha ghar se bahar zindagi is ki
bahut mahdud ho kar rah gai hai family us ki
sada kaTti hai bazm-e-shairi mein raat bhi us ki
sahar ke chhe baje hoti hai aksar wapsi us ki
magar shair ki biwi phir bhi us ki nam-lewa hai
jo din mein to suhagan hai magar raaton ko bewa hai
guzarti hai baDi mushkil se bechaari ki raat aaKHir
kalam-e-'josh' paDh ke gham se pati hai najat aaKHir
rahegi ghar mein tanha kab talak aurat ki zat aaKHir
na ho shauhar to paDh leti hai yaadon-ki-baraat aaKHir
kalam-e-'josh' tanhai mein ye rozana paDhti hai
ki jo rizwan paDhta hai wahi rizwana paDhti hai
abhi guDDu hua hai aur abhi ummid-e-sima hai
jo qabl-az-waqt aa pahunche ye ek aisa zamima hai
bana de ghar ko tariKHi yahi shair ka ima hai
agar shair ka ghar dekho to aasar-e-qadima hai
numaish is tarah shair ne bachchon ki lagai hai
ki jaise us ke majmue ki rasm-e-ru-numai hai
kaha shair ne biwi se ki tum meri qayafa ho
mere bachche mera mazmun hain tum KHali lifafa ho
hudud-e-zindagi mein ghair-mamuli izafa ho
mere dil ki hukumat ka tumhin dar-ul-KHilafa ho
na jis se pyas bujh pae wo K-M-C ka nal tum ho
haqiqat ye hai meri ghair-matbua ghazal tum ho
- Book : No Problem (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.