sab jhaD phunk sikh gae shaiKH ji se hum
sab jhaaḌ phūñk siikh ga.e shaiḳh jī se ham
murġhe ko zab.h karte haiñ ulTī chhurī se ham
bachpan meñ kyā aTaik kiyā thā zukām ne
parhez kar rahe haiñ abhī tak dahī se ham
habit kuchh is tarah huī khā khā ke Dalda
jiz-biz se hone lagte haiñ ḳhushbū-e-ghī se ham
muñh apnā ek baar jalā thā jo duudh se
piine lage haiñ phūñk ke maThThā tabhī se ham
jis shā.erī se shaiḳh haiñ faaqe meñ mubtalā
rozī kamā rahe haiñ usī shā.erī se ham
ḳhushbū-e-murġh aatī hai har lafz lafz se
karte haiñ guftugū jo kisī maulvī se ham
aane do vaqt tum ko chakhā.eñge vo maza
is zimn meñ batā.eñ bhalā kyā abhī se ham
jab se huā hai mahfil-e-'bāzaġh' se rābta
nāgāh kaT ga.e haiñ sabhā meñ sabhī se ham
sab jhaD phunk sikh gae shaiKH ji se hum
murghe ko zabh karte hain ulTi chhuri se hum
bachpan mein kya aTaik kiya tha zukaam ne
parhez kar rahe hain abhi tak dahi se hum
habit kuchh is tarah hui kha kha ke Dalda
jiz-biz se hone lagte hain KHushbu-e-ghi se hum
munh apna ek bar jala tha jo dudh se
pine lage hain phunk ke maThTha tabhi se hum
jis shaeri se shaiKH hain faqe mein mubtala
rozi kama rahe hain usi shaeri se hum
KHushbu-e-murgh aati hai har lafz lafz se
karte hain guftugu jo kisi maulwi se hum
aane do waqt tum ko chakhaenge wo maza
is zimn mein bataen bhala kya abhi se hum
jab se hua hai mahfil-e-'bazagh' se rabta
nagah kaT gae hain sabha mein sabhi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.