pendriwe
ġhusse meñ biivī ye bolī shauhar se
tum ne to bas zulm mujhī par Dhaa.e haiñ
maiñ hī tum ko phūTī aañkh nahīñ bhātī
tum ne sab se pyaar ke pech laḌā.e haiñ
shauhar bolā baat agar ye sachchī hai
phir ye bachche kis ke ghar se aa.e haiñ
banTī bablī sonū monū kyā tum ne
internet se download karā.e haiñ
itnā bhī ma.alūm nahīñ hai kyā tum ko
phuul ye kis kī koshish ne mahkā.e haiñ
internet kā server kab se down hai
saare bachche pendrive se aa.e haiñ
ghusse mein biwi ye boli shauhar se
tum ne to bas zulm mujhi par Dhae hain
main hi tum ko phuTi aankh nahin bhati
tum ne sab se pyar ke pech laDae hain
shauhar bola baat agar ye sachchi hai
phir ye bachche kis ke ghar se aae hain
banTi babli sonu monu kya tum ne
internet se download karae hain
itna bhi malum nahin hai kya tum ko
phul ye kis ki koshish ne mahkae hain
internet ka serwer kab se down hai
sare bachche pendriwe se aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.