parodi
ye khaTmal ye makkhī ye machchhar kī duniyā
ye lañgūr bhālū ye bandar kī duniyā
ye kuttoñ gadhoñ aur ḳhachchar kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye aurat ye mardoñ ye chhakkoñ kī duniyā
nihāttoñ kī hathiyār-bandoñ kī duniyā
ye Daaku police aur ġhunDoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye choroñ ye luchchoñ lafañgoñ kī duniyā
ye kamzoroñ kī aur dabañgoñ kī duniyā
tap-e-diq ke bīmār chañgoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye bush-junior aur obāmoñ kī duniyā
ye amrikiyoñ ke ġhulāmoñ kī duniyā
ye mullā-umr aur usāmoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
janāboñ kī izzat-ma.āboñ kī duniyā
ye achchhoñ kī duniyā ḳharāboñ kī duniyā
ye chamchoñ ko milte ḳhitāboñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye bandūq kaToñ tamanchoñ kī duniyā
ye fōtball kī aur kanchoñ kī duniyā
ḳhushāmad meñ mashġhūl chamchoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
havā.ī jahāzoñ kī railoñ kī duniyā
havālāt kī aur jailoñ kī duniyā
ye trakoñ kī duniyā ye Theloñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ra.īsoñ kī duniyā meñ kaḌkoñ kī duniyā
ye be-kār āvāra laḌkoñ kī duniyā
traffic se bad-hāl saḌkoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye khaTmal ye makkhi ye machchhar ki duniya
ye langur bhaalu ye bandar ki duniya
ye kutton gadhon aur KHachchar ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye aurat ye mardon ye chhakkon ki duniya
nihatton ki hathiyar-bandon ki duniya
ye Daku police aur ghunDon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye choron ye luchchon lafangon ki duniya
ye kamzoron ki aur dabangon ki duniya
tap-e-diq ke bimar changon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye bush-junior aur obaamon ki duniya
ye amrikiyon ke ghulamon ki duniya
ye mulla-umr aur usamon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
janabon ki izzat-maabon ki duniya
ye achchhon ki duniya KHarabon ki duniya
ye chamchon ko milte KHitabon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye banduq kaTon tamanchon ki duniya
ye football ki aur kanchon ki duniya
KHushamad mein mashghul chamchon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
hawai jahazon ki railon ki duniya
hawalat ki aur jailon ki duniya
ye trakon ki duniya ye Thelon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
raison ki duniya mein kaDkon ki duniya
ye be-kar aawara laDkon ki duniya
traffic se bad-haal saDkon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.