nazm-e-jahāñ ko zer-o-zabar dekhtā huuñ maiñ
maada ke iḳhtiyār meñ nar dekhtā huuñ maiñ
āñkhoñ pe ban rahī hai agar dekhtā huuñ meñ
ye jāntā huuñ un ko magar dekhtā huuñ maiñ
maiñ dekhtā nahīñ huuñ agar dekhte haiñ vo
vo dekhte nahīñ haiñ agar dekhtā huuñ maiñ
vaa.iz ne mujh meñ dekhī hai īmān kī kamī
vaa.iz meñ sirf dum kī kasar dekhtā huuñ maiñ
ab ye huī hai jalva-numā.ī kī intihā
vo sāmne DaTe haiñ jidhar dekhtā huuñ maiñ
allāh-re ro.ab-o-dāb-e-junūñ bhāgtā hai vo
jis kī taraf uThā ke nazar dekhtā huuñ maiñ
kahtī hai har girah ki rihā.ī muhāl hai
jab choñch se TaTol ke par dekhtā huuñ meñ
jis vaqt mil ke paḌhte haiñ donoñ kitāb-e-ishq
vo zer dekhte haiñ zabar dekhtā huuñ maiñ
nazm-e-jahan ko zer-o-zabar dekhta hun main
mada ke iKHtiyar mein nar dekhta hun main
aankhon pe ban rahi hai agar dekhta hun mein
ye jaanta hun un ko magar dekhta hun main
main dekhta nahin hun agar dekhte hain wo
wo dekhte nahin hain agar dekhta hun main
waiz ne mujh mein dekhi hai iman ki kami
waiz mein sirf dum ki kasar dekhta hun main
ab ye hui hai jalwa-numai ki intiha
wo samne DaTe hain jidhar dekhta hun main
allah-re roab-o-dab-e-junun bhagta hai wo
jis ki taraf uTha ke nazar dekhta hun main
kahti hai har girah ki rihai muhaal hai
jab chonch se TaTol ke par dekhta hun mein
jis waqt mil ke paDhte hain donon kitab-e-ishq
wo zer dekhte hain zabar dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.