navā hai ham-navā koī nahīñ hai
magar merī ḳhatā koī nahīñ hai
kahā iThlā ke us ne ā.īye na
yahāñ mere sivā koī nahīñ hai
hasīnoñ ne banā.ī hai vo durgat
mujhe pahchāntā koī nahīñ hai
lage haiñ kaam se line meñ saare
kisī ko dekhtā koī nahīñ hai
dabānā shart hai bajte haiñ saare
khilaunā be-sadā koī nahīñ hai
har ik muñh tak rahā hai dūsre kā
kisī se boltā koī nahīñ hai
yahāñ jitne haiñ apne baap ke haiñ
tumhāre baap kā koī nahīñ hai
liye ghūmat hai bulbul TonT meñ gul
use ab pūchhtā koī nahīñ hai
nawa hai ham-nawa koi nahin hai
magar meri KHata koi nahin hai
kaha iThla ke us ne aaiye na
yahan mere siwa koi nahin hai
hasinon ne banai hai wo durgat
mujhe pahchanta koi nahin hai
lage hain kaam se line mein sare
kisi ko dekhta koi nahin hai
dabana shart hai bajte hain sare
khilauna be-sada koi nahin hai
har ek munh tak raha hai dusre ka
kisi se bolta koi nahin hai
yahan jitne hain apne bap ke hain
tumhaare bap ka koi nahin hai
liye ghumat hai bulbul TonT mein gul
use ab puchhta koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.