main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai
main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai
Zia-ul-Haq Qasmi
MORE BYZia-ul-Haq Qasmi
maiñ shikār huuñ kisī aur kā mujhe mārtā koī aur hai
mujhe jis ne bakrī banā diyā vo to bheḌiyā koī aur hai
ka.ī sardiyāñ bhī guzar ga.iiñ maiñ to us ke kaam na aa sakā
maiñ lihāf huuñ kisī aur kā mujhe oḌhtā koī aur hai
mujhe chakkaroñ meñ phañsā diyā mujhe ishq ne to rulā diyā
maiñ to maañg thī kisī aur kī mujhe māñgtā koī aur hai
maiñ Tañgā rahā thā muñDer par ki kabhī to aa.egā sehn meñ
maiñ thā muntazir kisī aur kā mujhe ghūrtā koī aur hai
sar-e-bazm mujh ko uThā diyā mujhe maar maar liTā diyā
mujhe mārtā koī aur hai vale hāñptā koī aur hai
mujhe apnī biivī pe faḳhr hai mujhe apne saale pe naaz hai
nahīñ dosh donoñ kā is meñ kuchh mujhe DāñTtā koī aur hai
maiñ to pheñT pheñT ke phaT gayā maiñ phaTā huā vahī taash huuñ
mujhe kheltā koī aur hai mujhe pheñTtā koī aur hai
mire rob meñ to vo aa gayā mire sāmne to vo jhuk gayā
mujhe laat khā ke huī ḳhabar mujhe pīTtā koī aur hai
hai ajab nizām zakāt kā mire mulk meñ mire des meñ
ise kāTtā koī aur hai ise bāñTtā koī aur hai
jo garajte hoñ vo baraste hoñ kabhī aisā ham ne sunā nahīñ
yahāñ bhūñktā koī aur hai yahāñ kāTtā koī aur hai
ajab aadmī hai ye 'qāsmī' ise be-qusūr hī jāniye
ye to Dākiyā hai janāb-e-man ise bhejtā koī aur hai
main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai
mujhe jis ne bakri bana diya wo to bheDiya koi aur hai
kai sardiyan bhi guzar gain main to us ke kaam na aa saka
main lihaf hun kisi aur ka mujhe oDhta koi aur hai
mujhe chakkaron mein phansa diya mujhe ishq ne to rula diya
main to mang thi kisi aur ki mujhe mangta koi aur hai
main Tanga raha tha munDer par ki kabhi to aaega sehn mein
main tha muntazir kisi aur ka mujhe ghurta koi aur hai
sar-e-bazm mujh ko uTha diya mujhe mar mar liTa diya
mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai
mujhe apni biwi pe faKHr hai mujhe apne sale pe naz hai
nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe DanTta koi aur hai
main to phenT phenT ke phaT gaya main phaTa hua wahi tash hun
mujhe khelta koi aur hai mujhe phenTta koi aur hai
mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya
mujhe lat kha ke hui KHabar mujhe piTta koi aur hai
hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein
ise kaTta koi aur hai ise banTta koi aur hai
jo garajte hon wo baraste hon kabhi aisa hum ne suna nahin
yahan bhunkta koi aur hai yahan kaTta koi aur hai
ajab aadmi hai ye 'qasmi' ise be-qusur hi jaaniye
ye to Dakiya hai janab-e-man ise bhejta koi aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.