jaise islām meñ hai rasm musalmānī kī
vaise hī ishq meñ hai chāk-garebānī kī
gat yahī ḳhuun kī hotī hai jo hai paanī kī
rut badal jaatī hai jab fitrat-e-insānī kī
hashr meñ ho ga.ī sehhat maraz-e-isyāñ se
ek ḳhūrāk davā pī ke pashemānī kī
suukh kar ho chukā hai zard marīz-e-ġham-e-hijr
fasl ab kaTne hī vaalī hai pareshānī kī
donoñ darḳhvāsteñ us shoḳh ne ḳhārij kar diiñ
pahle to vasl kī aur phir nazar-e-sānī kī
zindagī kaaT dī jal jal ke jahāñ meñ 'māchis'
vāqa.ī tū ne baḌī ishq meñ qurbānī kī
jaise islam mein hai rasm musalmani ki
waise hi ishq mein hai chaak-garebani ki
gat yahi KHun ki hoti hai jo hai pani ki
rut badal jati hai jab fitrat-e-insani ki
hashr mein ho gai sehhat maraz-e-isyan se
ek KHurak dawa pi ke pashemani ki
sukh kar ho chuka hai zard mariz-e-gham-e-hijr
fasl ab kaTne hi wali hai pareshani ki
donon darKHwasten us shoKH ne KHarij kar din
pahle to wasl ki aur phir nazar-e-sani ki
zindagi kaT di jal jal ke jahan mein 'machis'
waqai tu ne baDi ishq mein qurbani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.