ishq ka parcha
mahv-e-hairat huuñ ki vo setter thā kitnā bā-kamāl
ishq ke baare meñ pūchhā jis ne parche meñ savāl
aise hī setter agar do chaar paidā ho ga.e
dekhnā is mulk meñ fankār paidā ho ga.e
aam hogī āshiqī collage ke arz-o-tūl meñ
lailā o majnūñ nazar ā.eñge ab schōl meñ
ishq ke ādāb laḌkoñ ko sikhā.e jā.eñge
ġhair-āshiq jo haiñ vo āshiq banā.e jā.eñge
āshiqoñ ko ilm meñ perfect samjhā jā.egā
ishq ik compulsory subject samjhā jā.egā
imtihāñ hogā to pūchhe jā.eñge aise savāl
apnī mahbūba ke baare meñ kuchh iz.hār-e-ḳhayāl
ishq ik science hai yā art samjhā kar likho
yā ye donoñ ishq kā haiñ part samjhā kar likho
aaj apne mulk meñ āshiq haiñ kitne fīsadī
muntahī in meñ haiñ kitne aur kitne mubtadī
kyā ta.alluq tibb-e-yūnānī ko hai rūmān se
compare farhād o majnūñ ko karo luqmān se
ishq kitne qism kā hotā hai likho bā-vasūq
fī zamāna kyā haiñ āshiq ke farā.ez aur huqūq
ek tahqīqī maqāla likh ke samjhāo ye baat
shāḳh-e-āhū par hī kyuuñ rahtī hai āshiq kī barāt
kuchh misāleñ de ke samjhāo ye qaul-e-mustanad
ishq avval dar-dil-e-ma.ashūq paidā mī shuad
sar ko kyā nisbat hai sañg-e-āstān-e-yār se
tum ne sar phoḌā kabhī ma.ashūq kī dīvār se
kyā sakūñ miltā hai dil ko āh-e-sho.ala-bār se
garm naale arsh par jaate haiñ kis raftār se
apne andāze se tūl-e-shām-e-tanhā.ī batāo
sirf taḳhmīnan shab-e-hijrāñ kī lambā.ī batāo
india kā ek naqsha apnī copy par banāo
aur phir us meñ hudūd-e-kūcha-e-jānāñ dikhāo
vasl kī darḳhvāst par kis kī sifārish chāhiye
ishq ke paude ko kitne inch bārish chāhiye
apnī mahbūba ko ik darḳhvāst english meñ likho
us se ye pūchho javāb-e-ārzū yes hai ki no
kaun se aale se dekheñ husn-e-jānāna likho
husn kī miqdār jo naape vo paimāna likho
mother-e-lailā ne to lailā na byāhī qais ko
tum agar lailā kī maañ hote to kyā karte likho
ek āshiq tiin din meñ chaltā hai unnīs miil
tiin āshiq kitne din meñ jā.eñge aḌtīs miil
aap kar sakte haiñ in meñ se koī bārah savāl
bad-ḳhatī ke pāñch number haiñ rahe ye bhī ḳhayāl
mahw-e-hairat hun ki wo setter tha kitna ba-kamal
ishq ke bare mein puchha jis ne parche mein sawal
aise hi setter agar do chaar paida ho gae
dekhna is mulk mein fankar paida ho gae
aam hogi aashiqi collage ke arz-o-tul mein
laila o majnun nazar aaenge ab school mein
ishq ke aadab laDkon ko sikhae jaenge
ghair-ashiq jo hain wo aashiq banae jaenge
aashiqon ko ilm mein perfect samjha jaega
ishq ek compulsory subject samjha jaega
imtihan hoga to puchhe jaenge aise sawal
apni mahbuba ke bare mein kuchh izhaar-e-KHayal
ishq ek science hai ya art samjha kar likho
ya ye donon ishq ka hain part samjha kar likho
aaj apne mulk mein aashiq hain kitne fisadi
muntahi in mein hain kitne aur kitne mubtadi
kya talluq tibb-e-yunani ko hai ruman se
compare farhad o majnun ko karo luqman se
ishq kitne qism ka hota hai likho ba-wasuq
fi zamana kya hain aashiq ke faraez aur huquq
ek tahqiqi maqala likh ke samjhao ye baat
shaKH-e-ahu par hi kyun rahti hai aashiq ki baraat
kuchh misalen de ke samjhao ye qaul-e-mustanad
ishq awwal dar-dil-e-mashuq paida mi shuad
sar ko kya nisbat hai sang-e-astan-e-yar se
tum ne sar phoDa kabhi mashuq ki diwar se
kya sakun milta hai dil ko aah-e-shoala-bar se
garm nale arsh par jate hain kis raftar se
apne andaze se tul-e-sham-e-tanhai batao
sirf taKHminan shab-e-hijran ki lambai batao
india ka ek naqsha apni copy par banao
aur phir us mein hudud-e-kucha-e-jaanan dikhao
wasl ki darKHwast par kis ki sifarish chahiye
ishq ke paude ko kitne inch barish chahiye
apni mahbuba ko ek darKHwast english mein likho
us se ye puchho jawab-e-arzu yes hai ki no
kaun se aale se dekhen husn-e-jaanana likho
husn ki miqdar jo nape wo paimana likho
mother-e-laila ne to laila na byahi qais ko
tum agar laila ki man hote to kya karte likho
ek aashiq tin din mein chalta hai unnis mil
tin aashiq kitne din mein jaenge aDtis mil
aap kar sakte hain in mein se koi barah sawal
bad-KHati ke panch number hain rahe ye bhi KHayal
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.