ishq ab mel se be-mel huā jaatā hai
merā ġham un ke liye khel huā jaatā hai
mashġhala ashk-fishānī kā thā pahle bhī magar
ab to ye shaġhl dhakā-pel huā jaatā hai
husn aur ishq kā jhagḌā bhī koī jhagḌā hai
vo laḌā.ī huī ye mel huā jaatā hai
husn yuuñ ḳhush hai ki hai tīsre bachche kā nuzūl
ishq yuuñ ḳhush hai ki pachmel huā jaatā hai
gundh ke phūloñ meñ tire sarv se qad par gesū
ḳhushnumā phūlī-phalī bel huā jaatā hai
hukm begam ke chalā karte haiñ jelar kī tarah
ab mirā ghar bhī mujhe jail huā jaatā hai
is qadar sarf ilāhī mire ḳhūn-e-dil kā
ab mohabbat kā bajaT fail huā jaatā hai
kahīñ bujh saktā hai 'māchis' ye mohabbat kā charāġh
jism kā ḳhuun hī jab tel huā jaatā hai
ishq ab mel se be-mel hua jata hai
mera gham un ke liye khel hua jata hai
mashghala ashk-fishani ka tha pahle bhi magar
ab to ye shaghl dhaka-pel hua jata hai
husn aur ishq ka jhagDa bhi koi jhagDa hai
wo laDai hui ye mel hua jata hai
husn yun KHush hai ki hai tisre bachche ka nuzul
ishq yun KHush hai ki pachmel hua jata hai
gundh ke phulon mein tere sarw se qad par gesu
KHushnuma phuli-phali bel hua jata hai
hukm begam ke chala karte hain jelar ki tarah
ab mera ghar bhi mujhe jail hua jata hai
is qadar sarf ilahi mere KHun-e-dil ka
ab mohabbat ka bajaT fail hua jata hai
kahin bujh sakta hai 'machis' ye mohabbat ka charagh
jism ka KHun hi jab tel hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.