hamare sath ki sab laDkiyan ab naniyan hongi
hamāre saath kī sab laḌkiyāñ ab nāniyāñ hoñgī
kabhī biscuit thiiñ lekin ab vo bāqar-ḳhāniyāñ hoñgī
hamāre rahnumāoñ ne kuchh aise biij bo.e haiñ
jahāñ tarbūz ugte the vahāñ ḳhūbāniyāñ hoñgī
tumhīñ socho ki phir bārātiyoñ kā haal kyā hogā
agar shādī meñ jackson-heights kī biryāniyāñ hoñgī
election phir vo zil-hijj ke mahīne meñ karā.eñge
to kyā do daañt ke voter kī phir qurbāniyāñ hoñgī
ajab andāz se jannat meñ vo hūroñ pe jhapTeñge
magar mullāoñ ko pakḌe hue mullāniyāñ hoñgī
mire dāman meñ ḳhush-dāman ne ik hiirā jo Daalā hai
ye daulat hai to phir kyā be-sar-o-sāmānī hoñgī
jo s-m-s pe har laḌke ko dars-e-ishq detī haiñ
vo saarī laḌkiyāñ collage meñ kal ustāniyāñ hoñgī
yahāñ tum sajda-e-ta.azīm-e-insāñ ko bajā laao
vahāñ zanjīr meñ jakḌī huī peshāniyāñ hoñgī
hamare sath ki sab laDkiyan ab naniyan hongi
kabhi biscuit thin lekin ab wo baqar-KHaniyan hongi
hamare rahnumaon ne kuchh aise bij boe hain
jahan tarbuz ugte the wahan KHubaniyan hongi
tumhin socho ki phir baraatiyon ka haal kya hoga
agar shadi mein jackson-heights ki biryaniyan hongi
election phir wo zil-hijj ke mahine mein karaenge
to kya do dant ke woter ki phir qurbaniyan hongi
ajab andaz se jannat mein wo huron pe jhapTenge
magar mullaon ko pakDe hue mullaniyan hongi
mere daman mein KHush-daman ne ek hira jo Dala hai
ye daulat hai to phir kya be-sar-o-samani hongi
jo s-m-s pe har laDke ko dars-e-ishq deti hain
wo sari laDkiyan collage mein kal ustaniyan hongi
yahan tum sajda-e-tazim-e-insan ko baja lao
wahan zanjir mein jakDi hui peshaniyan hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.