Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dibbon ka dudh pi kar bachche jo pal rahe hain

Pagal Adilabadi

Dibbon ka dudh pi kar bachche jo pal rahe hain

Pagal Adilabadi

MORE BYPagal Adilabadi

    Dibboñ duudh kar bachche jo pal rahe haiñ

    vo sab javān ho kar buDDhe nikal rahe haiñ

    thālī ban ke baigan naanā phisal rahe haiñ

    naanī saheliyoñ pe niyyat badal rahe haiñ

    in hippiyoñ ko shāyad ye bhī ḳhabar nahīñ hai

    zulfoñ ke ghoñsloñ meñ bulbul bhī pal rahe haiñ

    dādā-girī meñ baabā kuchh kam nahīñ the lekin

    baabā se baḌh ke chālū beTe nikal rahe haiñ

    Dibbon ka dudh pi kar bachche jo pal rahe hain

    wo sab jawan ho kar buDDhe nikal rahe hain

    thaali ka ban ke baigan nana phisal rahe hain

    nani ki saheliyon pe niyyat badal rahe hain

    in hippiyon ko shayad ye bhi KHabar nahin hai

    zulfon ke ghonslon mein bulbul bhi pal rahe hain

    dada-giri mein baba kuchh kam nahin the lekin

    baba se baDh ke chaalu beTe nikal rahe hain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now