Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke

Masroor Shahjahanpuri

wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke

Masroor Shahjahanpuri

MORE BYMasroor Shahjahanpuri

    vo sola ke hoñ pachchis ke hoñ puure pachhattar ke

    muannas paḌe rahte haiñ ḳhud pīchhe muzakkar ke

    jo un ke ishq ke chakkar meñ aa.eñ vo to rahte haiñ

    na pūrab ke na pachchhim ke na dakhkhin ke na uttar ke

    bahāne-bāz haiñ makkār haiñ jhūTe haiñ shātir haiñ

    mile haiñ ab kahīñ kar unheñ ushshāq Takkar ke

    jahāñ se chāhte haiñ ḳhuub vo bose churāte haiñ

    ki un ke ghar ke machchhar bhī sikandar haiñ muqaddar ke

    hamāre shaiḳh phir se shifā-ḳhāne meñ dāḳhil haiñ

    bahut aḳhlāq ke qaa.il hue haiñ ek sister ke

    hifāzat jism-o-jāñ bhī zarūrī hai mohabbat meñ

    qadam kūche meñ rakhtā huuñ tire abbā se Dar Dar ke

    unheñ aadat nahīñ hai lū-lapaT meñ pyaar karne

    ginā karte haiñ ab 'masrūr' din māh-e-december ke

    wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke

    muannas hi paDe rahte hain KHud pichhe muzakkar ke

    jo un ke ishq ke chakkar mein aaen wo to rahte hain

    na purab ke na pachchhim ke na dakhkhin ke na uttar ke

    bahane-baz hain makkar hain jhuTe hain shatir hain

    mile hain ab kahin ja kar unhen ushshaq Takkar ke

    jahan se chahte hain KHub wo bose churaate hain

    ki un ke ghar ke machchhar bhi sikandar hain muqaddar ke

    hamare shaiKH ji phir se shifa-KHane mein daKHil hain

    bahut aKHlaq ke qail hue hain ek sister ke

    hifazat jism-o-jaan ki bhi zaruri hai mohabbat mein

    qadam kuche mein rakhta hun tere abba se Dar Dar ke

    unhen aadat nahin hai lu-lapaT mein pyar karne ki

    gina karte hain ab 'masrur' din mah-e-december ke

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now