Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek gharib shair ki maut par

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

ek gharib shair ki maut par

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    lamhoñ meñ zindagī safar yuuñ guzar gayā

    saa.e meñ jaise koī musāfir Thahar gayā

    maḳhmūr thā nashe meñ ġham-e-rozgār ke

    hosh aa gayā to umr paimāna bhar gayā

    daulat bhī us ke haath na aa.ī tamām-umr

    kuchh naam na apnā zamāne meñ kar gayā

    sab us ke ḳhair-ḳhvāh bulandī pe rah ga.e

    shohrat sīḌhiyoñ se vo nīche utar gayā

    mauqa-parast āb-o-havā meñ na sakā

    apnī anā qaid meñ jaañ se guzar gayā

    maut us saarī mushkileñ āsān kar ga.ī

    ik bojh zindagī thā sar se utar gayā

    afsos kam huā magar hairat bahut huī

    jab 'ḳhvāh-maḳhvāh' ain za.īfī meñ mar gayā

    lamhon mein zindagi ka safar yun guzar gaya

    sae mein jaise koi musafir Thahar gaya

    maKHmur tha nashe mein gham-e-rozgar ke

    hosh aa gaya to umr ka paimana bhar gaya

    daulat bhi us ke hath na aai tamam-umr

    kuchh nam hi na apna zamane mein kar gaya

    sab us ke KHair-KHwah bulandi pe rah gae

    shohrat ki siDhiyon se wo niche utar gaya

    mauqa-parast aab-o-hawa mein na ji saka

    apni ana ki qaid mein jaan se guzar gaya

    maut us ki sari mushkilen aasan kar gai

    ek bojh zindagi ka tha sar se utar gaya

    afsos kam hua magar hairat bahut hui

    jab 'KHwah-maKHwah' ain zaifi mein mar gaya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now